guru rang do apane rang me mujhe..

10th March 2009; Surat Satsang

*************************************************

Sant Shiromani Param Pujya Shri Asaramji Bapu ki Amrutwani

*************************************************

 

Bichhade hai jo pyare se ,

Dar-badar bhatakate phirate hai..

humhara yaar hai hum me..

 

..ye mile.. ye mile.. ye mile..sab kuch milane par bhi wasana nahi jaati..bhatakate rahete..isliye jaagate rahena ..ek akela phans jayega..

 

ek bhula duja bhula bhula sab sansar l

nahi bhula us ko guru ka aadhar ll

 

ek baat khas yaad rakhanaa.. aap se jitani badi galati ho gayi ho to ab ho gayi.. ho gaya us ko yaad kar ke apane ko koso mat aur aap se achha kaam ho gaya to us ko yaad kar ke phulo mat..

burayiyaa  ya bhalaayiya bhi nimit ke liye hai.. apani asaliyat janane ke liye hai..

bhagavan krushn kahete hai

‘budhdiyog ka ashray lo..mujh chaityany me chitt lagaao

apani asaliyat ki taraf dekho..’

kadhayi ki visheshata ko chandrama apani visheshata manega to bolega, ‘haay re! mai to tap gaya!’ ..

aise vikar man me aate, wasanaa man me hai.. kaam, krodh man me hai.. raag dwesh budhdi me hai.. kala, mota sharir hai..aap to sat-chit aanand aatma ho,  jivatma kewal pratibimb hai..

ye vikar aate jaate hai.. kitani baar dukh sukh aaye bachpan me lolipop ke liye,  ab hai kya?..aise beet gaya us ko janane wala wo hi ka wohi hai ..us me vishranti paao..

 

 

ek ghanta maun rahenaa..

jap kiya shwas rok ke ek minute..phir shwas baahar chhoda..shwas bahar roka 40 seconds…pet andar bahar  kiya to swadishthan kendr vikasit hoga ..baki ke kendra nirog rahenge.. naadi jaal nirog rahega ..

 

(sadgurudev ji bhagavan ne mansik aarati karvayi….dhyan karvaya..)

kitani bhari tapasya ho rahi..

 

(shri yog vashisht ji ka pathan ho raha hai..)

bhagavan vishnu jis me sham-waan hai.. us me kitana aanand hai..

 

 

chakravarti raja mane aaj ke pradhan mantri pad me bhi wo shanti nahi milegi aisi shanti sukh  abhi mil rahaa hai..! adhyatmik unnati ke bina bhautik unnati tik nahi sakati.. kahi na chinta tention rahe jayenge..

 

 

..shantatma hai to sukh hi sukh hai..sham-waan ko aasakti nahi hoti..vo 5 vishayo me dolaaymaan nahi hota..un ka  thik se upyog karate.. aushadhi ke tarah… aise mahapurusho  ke aage devo ka devatv, setho ka sethatv sab chhota ho jata..sham-waan ke aage ye sab aise ki jaise himalay ke aage hathi bechara kya dikhe…..ek se ek hai aadar karane yogy, lekin vo bhi sham-waan mahapurusho ke darshan kar ke apana bhagy bana lete hai..

 

..aap sham-waan baniye ..raat ko sote samay imaandari se sadguru ke anubhav me apane ko patak dijiye..

.. jaise patanga jalate jalate dhadhak dhadhak kar nash hota ..aap us  ke viparit apane ahankar ko ishwar me milakar aap raswan ho jayiye… sansari patange ki tarah nash nahi kare..apane ko bindu ke naayi sindhu me patak kar ishwar ka gyan lijiye..ishwar ka  ras lijiye..

(sabhi bhaktgan shri Asaramayan gaa  rahe hai..)

 

bhagavan sab ka heet chahate.. bhakt jitana lok mangaly karata to ishwar ki prakruti bhi us ke sath athkheliya karati hai ..

.. taapi taT pe ye pandaal lagaya to ye jamin humhari nahi ho gayi..mai to kaheta hun ki , mera  apana vastr bhi apana nahi hai ! ye bhi tumhara diya huaa hai.. humhara to wo ek  hi hai jo sab ka hai !!

 

..bapuji ki itani prasidhdi hai to  koyi nayi sajish ka bam-blastik honewali hai…

bhagavan kare sab ka mangal ho ..mujhe gaali denewale ka bhi mangal ho..!

om namo bhagavate vashudevaay

pritidevay ..shantidevaay.. madhury devaay..

 

rasayanik rango se kitane khatare hote…lekin  sapt dhatu aur sapt rango ko santulit kar ke ye palaash ke phul ka rang  aap ke jeevan me  madhurataa laate ..prasannata laate…ishwariy prasaad laate…

 

prasade sarv dukhanaam hani rasyopajaayate

 

.. jis prasaad se  sare dukho ka ant hota.. wo hai bhagavat prasaad..

 

narayan narayan narayan narayan

 

 

“HOLI” maane HO – LEE.. jo ho gaya.. beet gaya….us ko bhul jaao…naa raag rakho… naa dwesh rakho..pralhaad ki tarah pra – aalhad me raho..

 

 

 

rang do apane rang me mujhe jeevan bhi mera rang do

guru tan bhi mera rang do aur man bhi mera rang do ll

 

sar se badariya gur ki dagariya

pawan ho gayi mori chunariya

apane hi  rang me rang do sabhi ko

prem bhari tori najariyaa

aaya hun mai  dwar tumhare

sun lo mere sadguru pyare

bachpaan bhi mera rang do ,

yauwan bhi mera rang do ,

rang do apane rang me mujhe jeevan bhi mera rang do

guru tan bhi mera rang do aur man bhi mera rang do ll

 

rom rom mera rang do guruji

kar do mujhe diwana

aisa rang do guruji

bhule sara jamana

ye kaisa jadu chalaya

sara jeevan khil gaya

guru patjhad bhi rang do, saawan bhi mera rang do

mujhe rang do jeevan bhi mera rang do

guru tan bhi rang do aur man bhi mera rang do

darshan bhi mera rang do sumiran bhi mera rang do

 

 

 

narayan narayan narayan narayan

 

Om Shanti.

 

Hari Om!Sadgurudev ji Bhagavan ki jay ho!!!!!

Galatiyo ke liye prabhuji kshama kare….

Explore posts in the same categories: Pujya Bapuji

2 Comments on “guru rang do apane rang me mujhe..”

  1. surendra Says:

    yes i am message

  2. surendra Says:

    nice side and nice guru sant shri asaram bapu


Leave a comment