Uttarayan Satsang Amrut

<!–[if !mso]> <! st1\:*{behavior:url(#ieooui) } –>

12th Jan. 2009 ,Ahemdabad Satsang IST 8 PM

*************************************************

Sant Shiromani Param Pujya Shri Asaramji Bapu ki Amrutwani ke kuchh ansh :-

*************************************************

…..omkar ki upasana pranayam aadi kar ke karate to aur achha hai ..sab milakar namrata se bole: “om shri paramatmane namah

omkar mantr.. gayatri chhand ….paramaatmaa rushi…. antaryami devata …”

omkar ka isht dev kaun hai?

sab prani matr me , jivo me jo antaryami parameshwar hai , wo devata hai ..

Omkar mantr ke rushi kaun hai?

bhagavan narayan rushi hai..

omkar mantr ka chhand kya hai?

Gayatri chhand hai…

Is (Omkar) mantr ki kyo upasana karani chahiye?

ishwar priti ke liye …ya jo bhi aap ke uddeshy ho…phalane uddesh ke liye ke japata hun…

..om om om om….ishwar ko jaise maa ko bchcha pukare aise bachche jaisa pukaro …ishwar ko maa swarup maankar.. …ye maa vyapak bramh se tadaakar kar deti hai…saakaar rup hai.. om om om om……aanand-data… om om om om…karta prabhu om om om om om… sarv heetkari om om om om om om om ..prabhuji om om om om …..pyare ji om om om om …..guruji om om om om om om…..om om om om om om om ….hari om om om om om om om om ….om om om om om om om ..prabhuji om pyare ji om om om om om …..

….kuchh dikhe aise bhav nahi rakhana…. yatra lambi kar denge… jo dhyan swarup hai us ke ho jaao….gaheri nind me hum kya koshish karate ?…kuchh nahi karate, to gaheri nind me jate… thakaan mit jati… aise kuchh chintan naa karo… kuchh banane ki koshish naa karo…kuchh dekhane ki koshish naa karo…kuchh janane ki koshish na karo…..

chhod jhagade sare… gota andar maar…

vishranti yog….sidha paramatma ke swabhav me…

uma ram swabhav jehi jana

tahi bhajan tyaji bhav naa aanaa

kim lakshanam bhajanam? rasanam bhajanam ….

vihsranti yog…jo thuk gaye wo let bhi sakate hai..thake hai to thodi der let jaao…koyi thake thakaye baithe rahe aur dhyan ho jaye aisa nahi hai… ..ati parishram nahi….

yuktahaar vihaarasy…!

shant….. daanto ke mul me athava taalu me jibh lagaa de..taloo me jibh lagaane se smruti nadi push hoti hai…daato ke mul me jibh lagaane se ekagrta aur aarogy..

shwas andar gaya – bhagavan ka naam…shwas baahar aaya ginati…(aisa roj cum se cum 50 baar kare)…is se manoraj shant honge..swas andar “om swarup ishwar”…shwas bahar aaye to ginati…. “1”

ek bhi shwas bina ginati ke naa jaye nahi…aise 50 shwas karate to mann ko lagaam lagaane me saphal ho jayenge….. ekagrata aati hai ….budhdi ko vishranti milati hai… man ki chanchalataa mitegi… budhdi ka bal badhega…. indriyo ko sanyam aayega..

budhdi mann ke sankalp-vikalpo me ulajhkar thuk jaati hai…man ke sankalp vikalp cum hone se buddi push hoti… om shanti…

om..

mala shwaso shwas ki jagat bhagat ke bich l

jo phere so gurumukhi , naa phere so nich ll

jo bhautik jeevan ko mahatv dete wo ye upasana nahi kar sakate… ye upasana teji se unnati karayegi …ye aisi sadhana hai …

shwas andar bahar ki..

omkar ki upasana se 19 lakshan vikasit hone lagenge….

omkar ki upasana se chitt dhyan bhajan me lagega…shanti milegi.. tatv me pratishtit hone me madat milati hai …..

chitt me jaise sanskar daalo, waisa phal milata hai…jaise dharati me mirchi daalo , usi me adrak , dhaniya… usi me ganna …sab ke gun alag….dharti ek , ek khet , kisan ek, lekin bijo ke jo sanskar hai waise ped pudho me gun aate hai… waisi aushadhiya paida hoti… aise hi jis bhav se omkar ki upasana karenge waisa hoga..!

upasana karate samay jis bhav se karega, us unchayi ko paa lega…bhagavan ko paa leene ka iraada hai…janam maran se chhutakara ho jaye ye irada hai… raag dwesh se paar ho jaye ye irada hai…paramatm ras me, paramatma ke gyan me, paramatma ke swabhav me, paramtma ke sanarthy me jaag jaau ye uddeshy hai to jo bhi uddeshy hai, us ko paane me saphal ho jayenge…

….om om om om…..

pranimatr ke suhurd hai …bhagavan ka adbhut saamarthy hai… madhury hai …karuna varuna hai ….

bhagavat prem hi vastavik jeevan hai….sharir me jite to kaam aayega…apane deh me phasata to ahankar ho jata…premswarup ho kar , aatmdev me vishranti lekar aa jata to paramatam ko pragat karane ki kshamata rakhat ahai ye jivatma…

mohmad yakub khan bhagavan ke bhakt ho gaye sanam saahab naam se unko jane jate the…(sadgurudev ji bhagavan Mohamad Yakub Khan sahab ke dohe bata rahe hai…..)

chinta rog se paida hoti …chinta ke vrudhdi se rog ke kan badhate… aap sada nirogi hai…rog sharir ko hota hai…aap us ko jaanane wale hai…

om shri paramatmane namah..

achyutaay , anantaay , govindaay..rogbheshajam

nashtanti rog sarvani satyam satyam vadet..

..is ka smaran karaaye ….aap kisi ko milate us ko ishwar ki yaad dilaaye…..jis ko bhi milate us ka bhay, chinta mita ke aaye to aap ne bhajan kiya …badi sewa kar li..

risayat patiyala me ek sidhdi bachapan se vikalang tha…ladake ki bhagavan ke bhakti me rang ke jaganath ji ke darshan ki laalasa paida huyi…maa ko bola, “mujhe jane do”….maa ne khub roka …lekin ladake ka drudh sankalp tha ….isliye kharchapani diya…

ladaka vikalang tha…chal nahi pata…jaganath ji kaise pahunche? Sab ko taras aata tha… apane gaherayi me jo baitha hai us ko taras aaya… ek dedh din bita… ek raat vishranti kare, phir chale..bhagavan jaganath ka darshan karane… ek yatri mila..bole kaha jaa rahe ho?…jaganath ji to kaha hai aur tum kaha ho…. riyasat patiyala ka chhotasa kasaba se chale…aur jaganath ji kaha udisa me….kab pahunchoge?kaise pahunchoge?…ghar laut ja…” yatri ne bahot samjhaya…

ladake ne kaha, ghar walo ne mana kiya tha, lekin mai darshan karunga hi…”

ajanbi ne khub prayatn kiya… lekin bole, “nahi yatri mai jaganath ji ke darshan kiye bina ghar nahi lautunga…”

..ajanabi yatri ne puchha ki, “jaganath ji ke darshan yaha mil jaye to..?”

“kaise milenge?”

yatri ke rup me ghat ghat wasi the…ladake ne jaganath ji ka darshan kar liya !!

jaganath ji bole, ab to darshan ho gaya, ghar laut jaao..

ladaka bola, gharwale nahi manenge meri baat ki maine aap ke darshan kar liye…kuchh aisa upay kare ki gharawale bhi maan lenge…bhagavan ne sparsh kiya to ladake ki vikalangata door ho gayi….ladaka daudata bhagataa ghar pahunchaa!!… “dekho jaganath bhagavan ne darshan diye!!”

bhagavan kaise, kis vakhat, kis rup me pragat honge…kya lila kare..kaisi prerana karenge , musibat dekar, utsah dilakar , krupa karenge… ye us ki krupa hai…!!

aadi shankarachary ji ko maa ka aisa sumiran huaa ki bhagavan maa ke dudh ka amrutpaan kara rahe ..baly kaal jaise maa ke dugdh paan kar ke swad mukh me aaya…..aadi shankaracharyji ne socha ki jarur kuchh ghatana hai…. kutiya me gaye… swad badh gaya …dhyan me spasht dekha ki maa aswatsh hai, yaad kar rahi hai…. yog samarthy se maa ke paas pahunche….

ye ghatana kitaabo me likha hai yaa shashtr me likha hai , isliye aap maan lo aisi baat nahi… 3 sadhu ko badrinath dham me aaksh marg se udakar aate huye ek mahila ne dekha tha…1965/1967 ki ghatana hai… jis mahila ne ye ghatana apani aankho se dekhi un ka naam vedmaya tha…vo badrinath me raheti thi..baad me mere gupha ke paas ek gupha me raheti….

..to akash marg se udkar aadi shankarachary ji keral pahunch gaye ….un ki mata behosh haalat me padi thi ..raja raj shekahr ko shankarachary ki suwas pata chali thi …unho ne sandesh bheja tha..

…aadi shankarachary ji ki aarymbha maa snan kar ke jis raste aati jati to logo ki drushti padati….vrudhd sharir…. un ke pitaji bahot chal achal sampada de gaye the… bahar ki sthaavar milakt thi ….

Waha ke bramhan sochate ki buDdi mare to ye milkat (jaaydaad) hum ko mile…. aadi shankarachary ne maa ki sthiti dekhi… aankho se aansu jhaarane lage…. mata aaryambha ko kaha , “maa tumhara beta shankar…mai aa gaya hun maa….!”

Maa ne aankh kholi…. na jane murchhit maa me kaha se chetana aa daudi….maa shankarachary ko sneh karane lagi…. prem swarup ishwar manovanchhit purn karata hai…maa ki dainy sthiti par daya aa rahi thi… maa ne kaha, “tera pita to mujhe chhod ke chal base…tum ne sanyas le liya…mere pe kisi ko taras nahi aaya….”

…aadi shankarachary ji bole, “ab mai aa gaya hun, ab nahi jaunga maa!”

Maa ke aaanand ka thikana nahi rahaa….maa shrikrushn ki bhakt thi…hey krushn! hey nath! Narayan…. maa anjane me krushn tatv me pahunch gayi…..pados ki ek sajjan mahila aaryambha maa ki sewa karati thi… baki ke log to raah dekhate ki aarymbha maa kab chal base to ye lambechaude baug bagicha prapt ho ..chal achal sampatti mile….lekin wo pados ki bai nishkam bhav se sewa karati…. khan paan kya hajam ho is ka dhyan rakhati…

Jab shankarachary aaye to unho ne maa ki sewa shuru ki….keral ke raja ko pata chala to patr likh kar bheja ..aap ko pranam karate aadi…bramhano ne dekha ki shankarachary un ki maa ki anteshti karenge to sampatti ke adhikari ho jayenge aur wo math mandiro ko de denge….bramhano ki dusht mati ho gayi thi…apani sasnkruti ki jade ukhadane wala prachar kar ke un ki mati dharm ke khilaf mati ho gayi thi …bramhano ne jangalo ki sukhi lakadiya tod kar gharo me chhupa di…ki is mata ko jalayenge to lakadi bhi naa mile…agnisanskar dene koyi bramhan jaye to bhaga dete ….bramhano ki krurata badh gayi thi..un ko aachary ki mahanataa ka pata nahi tha…wo to krur budhdhi se charo taraf aisa mahol banaye ki aaryambha maa ki anteshti bhi nahi hone paaye…

Aadi shankarachary ji ko maa ki sewa karanewali padosi bai se pata chala ki koyi anteshti me aa nahi raha ….

bhagavan swapane ke dwara, kabhi pratyaksh saamarthy dete… bhavanaa ke anusar kabhi prerana dete….sattaa dete…. swapane me, jagrut me prerana dete… baar baar hum ko prerana dete ki lilashah ji bapu ke paas jaao..hum puchhate ki, “kaun bol raha?” to andar se aawaj aati ki , “mai bhagavan bol raha hun!”

hum puchhate, “ kaun bhagavan?”

..andar se aaawaj aati, “jis ko tum bhajate ho!”

.. mai mandir me jata to phool girate………aisi prerana ho to samajh lena us ki krupa hai…us me raag dwesh nahi… bhagavat prerana param mangalakari hoti hai ….

…aadi shankarachary ji ke sewak ramdas ko prerana huyi… rajsthan ki vyakti…lamba kad… swasth rajsthan ka sharir tha….. sewak ramdas talaawar ki dhar jaisi prabhavshali vyakti ….un ko bhai pahelawan bolate… bada rubab tha….keral ke udand vyaktiyo ne un ko bhi aadi shankarachary ji ke paas jane se roka…. ki kisi ko nahi jane denge ….tole gher ke baithe ….un ko barabar kisi ko naa jane dene ke liye bithaya tha… gaanv ke sewak ramdas ka prabhav dekhakar tole bhi chup ho gaye…aaryambha maa ki sthiti dekhakar dravibhut ho gaye ki maa ka kya aparadh hai… dhaaadhas bandhaya… bramhano ki udandata badhati gayi…aur…aadi shankaray kshamashil kshama karate gaye…to gaanv ke bramhano ki udando ki udandata jyada kare..

Aadi shankarachary ji sewak ramdas ko bole ki, tum jaao… jara lakadiya le aao… maa ke chita ke liye…”

Sewak ramdas lakadiya lene gaye to udand un ki thatThaa maskari karane lage… jangalo me sukhi lakadi nahi mile….hare pedo me se jaha taheniyo sukhi thi wo leke aaye….aachary shanakraji ko bole…taheniya layi hai…sukha vraksh dikhayi nehi diya… is udando ne katava ke rakh di hai…

maa ki arthi uthane koyi nahi aayenge..chitaa bhi nadi kinaare jalaane nahi denge…humhe hi apane dhang se kuchh karana hoga..

aadi shankarachary ji bole, “tum chinta naa karo… koyi baat nahi …hare lakadiya bhi le aao chandan ki laakadi le aao…”

sewak ramdas ne lakadi ka bhara laake rakaha to udand log lakadi ka bhara chura kar le gaye….

aakhir hari lakadiya kaat ke laaye… pata chala ki samshan me maa ke shav ko le jane nahi denge…

aadi shankarachary ji bole, “ chalo apane ghar ke prangan me hi anteshti kar denge…”

maa ke shav ko snan aadi kar diye…lekin aag nahi thi ghar me ….kayi mahino se maa bimaar thi to aag nahi thi…. wo jamane me aag nahi thi to aag jalaane ke liye kisi ke ghar se aag laate yaa gharshan se aag karate… waise hi udando ne gaanv me utpaat macha rakha ki maa ko agni sanskar ke liye koyi agni naa de …

aadi shankarachary ji bole, “ chalo koyi baat nahi …gili lakadiyo ko gharshan kiye ….agni dev pragat ho gaye…. dekhate hi dekhate aaryambha maa ka sharir rakh me badal gaya…

jaise aaryambha maa ka panchbhautik sharir rakh me badal gaya aise aap hum sabhi ka sharir bhi rakh me badalega , bilkul pakki baat hai…

..ye sharir rakh me badal jaaye us ke pahele apana ajanma swabhav me jaag jaaye…

ye tann kancha kumbh hai, phutat naa laage der l

phatakaa laage phuti pade, garv kare

aarymbha maa ka tann rakh me badal gaya ….udando ne kaha ki nadi me asthi daalane nahi denge…aadi shankarachary ji ne dekha ki ab kya kiya jaye?…. us achary ki chitt ki vishranti ne raja rajshekhar ke dil me prerana di ki aachary ko kya kasht hai .. …sainik daudaaye to khabar padi ki aadi shankarachary ji tuk udand log jane hi nahi dete …sandesha bhi nahi dene dete….raja ne kaha ki, mukhiya ko pakad ke le aao …2/4 sipaahi chupake se gaye mukhiya ke ghar… gaanv me pata chala to sipahiyo ko daant phatkar ke mukhiya ko chhhudawa diya…. senapti ko pata chala , raja ko pata chala to raja rajshekhar krudhd ho gaye… itane bade achary ko sataayaa jaa raha hai…apane rajy me hum aisa anuchit nahi hone denge… udando ko dand denge..

..senapati bole, hum jayenge aur is baar jyada sipaahi lekar jayenge…aap chinta naa kare maharaj…

Senapati jagat guru shankarachary ji ko milane ko aaye… maharaj pranam… aadi shankarachary to dayaloo sant the…senapati bole,” maharaj aap to kshamashil hai… humara rajdharm hai ki udando ko dand de…nahi to praja trahi maam ho jayegi..achary hum par krupa karenge.. .. raja ko shashrarth kar ke sanysath ki diksha dijiye ..”

sat-chidanand ka prachar prasar kar ke laghu granthiya thi wo bharat wasiyo me us ko ukhad phenka hai…aap ki suwaas hamne jaani hai…aaryambha mata ka agni sanskar me vighn daalkar aap ki sampada hadape aisi kutiltaa karanewale udando se praja ko surakshit kare… aap humhe ashirwad de ki udando ko dand de sake..”

itane me gaanvwalo ko pata chal gaya …gaanvwale aadi shankarachary ji ki stuti karane lage… vidharmi log aisi ku-sanskar dete ….na upasana karane dete, naa deva puja karate… kya kya ut-pataang baate karate to aisi mati ho jati…. aap ki mata ko hum ne sataayaa… hum aap ke balak hai …kshama yachana kar rahe..”

achary aur senapati ke samane hath jode… bramhan jeevdaan, prandaan mangane lage… senapati bole, “achary aagya dijiye, in ko dand dene ki” …

shankarachary shant mana ….raja ne dekha ki bahot der ho gayi, senapti jaakar bhi kuchh parinam nahi aaya to socha ki jarur acharyshri ne samjhane ki koshish ki hogi… ang rakshako ke sath rajshekhar samrat swayam aa gaya… ghode se aaya …niche paidal kuchh kadam chal ke aaya…dandavat pranam kar ke pada raha…. stuti ki…. ki kshama kare ki sewa me viphal saa huaa… sewa karane me der ki…. mere tuk khabar pahunchane nahi di…..(tab mobile phone nahi the)…mai itana vilamb nahi karata…. dharam nibhane ke liye ashirwad dijiye… aap ka swabhav dayaloo hai aur udand ko dand nahi denge to praja ko trahimaam kar denge…

aadi shankarachary ji bole ki, “agar udand apani bhul sweekar karenge to daya karana hi uchit hai…heet ki pradhanata se rajkaj karege to achha hai…. dand dene se udandataa mitegi aisa nahi hoga…..”

… salami sahit aarymbha mata ki asthiyo ka visarjan huaa…

humahri sankruti par vidharmiyo ke kitiraghat ho rahe hai…khanapan ke bahane , padhayi ke bahaane hamare bachho ko kuchh na kuchh kar rahe…. hume bhi kuchh karana chahiye …

is daivi kary me lage ..shubh sankalpo ko charo disha me phailaaye… isliye aadi shankarachary ji ki 4 pith ki parampara abhi bhi chal rahi hai…

…sajjan apane ko badale nahi… sajjano ko aise samay ekatrit hokar udando ki udandata se bachana chahiye..shankarachary ke ghar sajjan aate to un ko bhagaaya jata tha…lekin aisi krupa chali , aisa mahol bana ki sara gaanv “jay jay shankar” mahol me badal gaya…

narayan hari..

Om Shanti.

Hari Om!sadgurudev ji Bhagavan ki Jay ho!!!!!

Galatiyo ke liye prabhuji kshama kare….

Explore posts in the same categories: Pujya Bapuji

Leave a comment