RISHI PANCHAMI _ CHAMBA SATSANG NEWS

BRAMHGYANI SANTSHRI PARAMPUJYA ASARAM BAPUJI from CHAMBA


इस सत्संगअमृत समाचार को हिंदी में पढ़ने के लिए कृपया यहाँ पधारे : ऋषि पंचमी _ चंबा समाचार

( 12 Sept.2010, CHAMBA , Himachal Pradesh)

Bholenath Mahadev tumhari jay ho!
champa ke niwasiyon ke dhadakane chalaane wale dilbar prabhu tumhari jay ho ..bam bam bhole..shiv shiv  bhole..

chambaa me champaa devi ka mandir hai , jis ne charpat nath ji se aatmvidya prapt ki thi… us se naam padaa champaa(chamba)
manushya apani sambhaavanaaon ko jaan jaaye to nihaal ho jaaye! khush-haal ho jaaye!!
samajh ka sadupayog karoge to ‘every man is wise but  playing the fool’ ye videshi tatv chintak ki baat samajh  me aayegi…
jo  samajh ka durupayog karate vo apana samy shakti chhoti moti baaton me kharaab kar ke  be-rojgari ke chapet me aa jate hai bechare..

charpat nath jogi ke sannidhya me yahaa ke raja ki kanya champa devi ko diksha mili aur us ne apane andar sushupt shaktiya jagaayi.. muladhar chakr ko vikasit karane se kayi prakar ki sidhdiyaa aati , swadhishtan chakra se animaa aadi sidhdiyaa aati … champadevi  ko aisi sidhdi mili ki vo adrushy ho jaati thi..
aap adrushy ho jane ki sidhdi paao aisaa aagrah nahi 🙂
..lekin aap ke jeevan se udaasi,  jeevan shakti ka Rhaas se bach kar sharir swasth rahe..

ek prayog hai jo kar ke kuf , vayu, pitt se bananewali samast bimaariyaa mit jaati.. aisi 132 prakar ki bimariyaa aur kuf, vayu, pitt aur aam ke mishran se bananewali 800 prakar ki jo bimariyaa hoti, vo hogi hi nahi..(is adbhut gunkari prayog ki jankari ke liye krupayaa yahaa click kijiyegaa.)

aaj rishi panchami hai.. 3 prakar ke rishi hote hai ..
raaj kaaj kar ke chamba ke raja ke naayi charpatnath jaise aatmvetta santon ki sharan le kar champa devi ki naayi paramaatmaa ko paaye to un ko raaj rishi kahete hai.
jo ekant me bramh paramatmaa ka chintan kar ke ‘vasudeva sarvam eeti’.. aisa bramh bhaav jagaa kar sakshatkar karate unhe bramh rushi kahete.
jis ne bramh paramatma me samaahit ho kar sadaa-sadaa ke liye nivrutti paraayan ho gaye aur apani daivik sampatti ka vikas kiya vo dev rishi hote hai..

aaj rishi panchami ke parv par un raaj rishi, bramh rishi aur dev rishi ka smaran kar ke  hamare andar ka rishi tatv ko jagrut karane ka awasar hai..
jane-anjaane me  rushiyon ke updeshon ki avahelanaa karane ke karan jeevan me dukh daridrata rog shok aa gaye ho to us ko bhagaane  ka divas hai RISHI panchami!

raaj rishi,bramh rishi aur dev rishi  “jogi” kahe jate.. bhagavan shrikrushn jogeshwar kahe jate.. jis jisane bhi satsang sun kar apane hruday me bhagavan se samandh jagrut kiya aise rishi ko jogi kahete…aise jogi  prasidhd ho ya a-prasidhd ho, un ka sampark jis kisi ka hota ve bhagyashali hai! unhe ham se kuchch lena nahi hota hai…apane tan man indriyon ko vash kar ke ve jis divya chetana ke sath ekaakar huye us param sattaa ka prasaad dekar laghu me se ham ko guru banaa dete hai…..

mujhe agar mere guruji lilaashah ji nahi mile hote to mera utana vikas nahi hota..sari duniya ke sare college aur vishwa vidyalayon ke pramanpatr lekar  ghumataa to bhi mujhe ye vikas nahi hota jitana mujhe mere guruji bramhrushi mahapurush ke charano me huaa hai ..

raaj rishi ho, bramhrishi ho, dev rishi ho..aaj ke din un sabhi mahaarishiyon ko sumiran kar ke man hi man pranaam karo. Atri, Kashyap, Vashishth, Jamdagni, Gautam, Bhardwaj, Vishwamitr in saptarshi aur Arundhati ji  ka smaran kare  to akaal mrutyu se raksha hoti aur durgati se raksha hoti hai..
jane anjaane me mahilaayen masik dharm me dev darshan ko chali gayi athava rishi sant muni ke bhajan karane wale ke darshan ko sannidhya me chali gayi to un ki tapasya bhang karane paap lagaa huaa ho,
athava kisi bhai mayi ko rishiyon  ki avagyaa ka paap lagaa huaa ho to aise paap ko nash karane ki paap-nashini urja ko jagrut kar ke rishiyon ke divya prasaad ko apane jeevan me sakar

karane ki suwarn ghadiyaa ye RUSHI PANCHAMI KA PAVITR DIN hai..

paahadi logo ko bewkuf bolanewale apani khud ki murkhata mitaao…
bhagavan kahete :- sthavar me  himaalay mera hi swarup hai.
pahaadi himalay me rahete..himalay me satvikata hai.. dhyan bhajan ki suvidha hai..abhi thoda mahol bigad gaya ho to bhi purv kaal me

mahapurush charpat nath jaise athavaa guru nanak ke sampark ke raja mughalon ko chhakka chhudane me saphal ho gaye.. kayi mahila bhai mayi me  aatm unnati ke sadhan se devatv jagaa…to un ka mandir banaa diyaa.. isliye yahaa bahot prakar ke mandir hai, bahot devataa maanate to pahaadi logon se sikh lena chaahiye harek ko..pahaadi logo ne apane devatv ko adhik jagaayaa hai.. is ilaake me adhik devi devataa hona ye khabar dete ki yahaa ke ilaake ke logo ne apane andar ke devatv ko adhik jagaayaa hai…bhagavan par astha shradhdaa ki hai..

bhgavan ka matlab kya haota hai?
bh ga va na = bha se jis ki satta se bharan poshan hota
ga se sharir, man, budhdi ka gaman-aagaman sankalp vikalp  jis ki satta se hota..

va se jis ki satta se wani spurati..
na se sab kuchh naa hone ke baad bhi jo sath nahi chhodataa wo hi paramaatma bhagavan hai… kitana dur hai?
so sahib  sada hajure andha jaanat taako dure..

kewal roj 15 minat ka ye prayog kare..
ektak bhagavan ke shrivigrah ko dekhe aur hari om ka plut uchcharan kare..
sidha baithe,angutha aur us ke baju ki ungali milaye, 3 ungali sidhi… niche garam aasan bichhaa ke baithe…lamba shwas bhar ke shwas ko chhodate huye “hari om” ka lambaa uchcharan kare…aisa 15 minat  ye sadhan karo..shaktiya kshin na ho isliye aise kare to bahot shighra kalyan hota hai..

bhagavan shant aatma hai…chaitanya aatma hai..jaldi jaldi naam lene  se paap nashini urja mialti hai..
dirgh uchcharan  karane se saphalya urja milati hai ..
plut uchcharan karane  se bhagavan me vishranti aur bhagavan ki premabhakti ka divy prasad milata hai..

is prakar bhagavan ki gun lila sumiran kar ke uchcharan karo to swabhav ki chanchalataa ekagrataa me badal jayegi.. achchhe nirany karenge.. kaam-kaaj me saphal honge.. bachche achchhe marks paayenge..mahilaaon ke  ghar ke jhagade mitenge..

ratri ko sote samay bhagavan ka naam shwasoshwas ki ginati me kare.. subah utho to pahele hi kshan shant hokar pakka nirnay kare ki bhagvan ke hokar jiyenge to sansar ke vighn badha  me bhi saphalataa se jine ki taakad aayegi…

bhagavan ki priti bhi badhegi ..

tum jab jhuth bolate to andar se kamjori hoti ..saty bolate to man me bal aayegaa..kyu ki budhdi ke pichhe bhagavan ki chetana hai ..bura kam

karate to jara se patte hikata to bhi darate ..lekin jab tum saty me tike ho nirbhikataa se mukaabalaa karate.. koyi kitana bhi kuprahcar kare bhay nahi hogaa..

satsangi samjahate ki sharir ki bimari apane me nahi..mai aatma hun …apane me bimari maanane se bimari jayegi nahi …..bimari sharir ko hoti, sukh dukh man ko hota..chinta me chitt ko hoti…chitt ki chinta ko apane me mat mano, apane ko us ko jaananewala mano..

om namo bhagavate vasudevay
vasudevaay priti devaay bhakti devay…
madhury devaay..
mam devay..
prabhu devaay

jara jara baat me aspatalo me na bhage..

har 4 aadmi ke pichhe ek adami ko heart ki bimari  hai ..lekin mere sadhak ko heart attack nahi hona chaahiye.

liver kharab ho jata to badnar ka livar bithate..20 lakh kharcha hota aur maruti ka engin bas me nahi chalataa aisi haalat hoti..
ashrivad mantr se ek din me jaundis thik ho jata..ek chutaki chawal phank le, 50 mala jap le to liver thik ho jata..
chashme wale ka chasma utar jata motiya  ..by paas bolckege ke liye upaay sashrm se ajana le..
prasuti ke liye sizeriyan na kare..  ( normal dilevary hone ke liye upaay aur sizeriyan ki khatare jaanane ke liye link )

diabitis huaa ho insulin lene ki koyi jarurat nahi ..karele ka upaay karo.
cancer ki bimari hai to subah uth kar manjan karane ke pahele 20 gram taja gomutr athava 10 gram go-jharan ark me 10ml pani dalanaa aur basi munh pi le, 4 ghante ke baad 50gram taja pakka dahi (jo achhe se jama ho, dhila nahi) aur 20 gram tulasi ka ras milakar khaaye..

lekin mai yahaa aap ki sansaari bimari mitane ke liye nahi aayaa hun  🙂
yaha ka satsang karykram  84 lakh janamo ki  bimari mit jaaye isliye aayojan hai ..prabhu ka ananad aaye.. gyan aaye isliye ye satsang hai..
satsang se paap nashini urja milati..
satsang ki ghadi anmol hai…
bhagavat bhakti me jo aannad aur puny huaa koyi chhin nahi sakataa.. maut ki bhi takad nahi..

satsang se divya jeevan hota..
divya jivan kaise hota aur tuchh jivan kaise hota?
jo aaya khaaya aur jo man me aaya so kar liya..to tuchh jivan hotaa… amavasya, poonam AUR jamashtami, mahashivaratri,holi, diwali in 4 maharatriyon ko sansaar vyavhaar kiya to tuchchh santaan paida hogi….santaan nahi bhi huyi to pati/patni ko jaanlewa bimari pakadegi.
aur in parvon ke dino me jap kiya to divya jivan huaa…

sukh dukh swapana hai..kaisi bhi paristhiti aaye, us ka upyog kar ke unnat hota to divya jivan hai..
laali lipstik lagaayi to divya jeevan nahi hota..kudarati chamadi bhi kharab hoti hai ..make-up ke chemical satyanash kar dete..
meri maa ne kahaa lagayi thi lali lipstik, phir bhi divya jeevan hai… champa devi ne kaha lali lipstik lagaayi thi.. phir bhi divya jeevan hai ..

ninda kar ke apana chehara, dil aur swasthy bhadda na karo…”hey prabhu aanand data” ye prarthana roj kare…is prarthana ke liye LINK
sant milan ko jaayiye  ye path roj kare ..is  path ke liye LINK

mobile se bahot nuksaan hota hai..napunskata se bachane ke liye, vishad ko paar karane ke liye mobile se jitanaa ho sake bache.. raag pahaadi sunane se niras vyakti ke jeevan me bhi bhagavan ki rasataa ka prasaar prachaar hota hai..
Suresh Baapji raag pahaadi gaa kar sab ke hruday ko thanganit kar rahe hai :-

guru ka gyan tare bhav se bhagavat gita kaheti
aise gyan ki aveerat dhatra jogi ke dar baheti
jogi re kya jadu hai tere gyan me..

jag me nadiya baheti kitani koyi na ganga jaisi
jogi jaisa bhi naa koyi in ki wani aisi
jogi re kya jadu hai tumhare gyan me..
hari om hari hari ..bam bam bhole..shiv shiv  bhole

charo aur prasannataa phaile aur ujiyala chhaye
satsang sun ke is jogi ka sab ke dil khil jaaye
jogi re kya jadu hai tere gyan me..

12 Saptembar 2010, RUSHI PANCHAMI aur Ravivaar ke Paawan awasar par Chamba me hajaaro bhagyashali vidyarthiyon ne saarswaty mantr aur yuwakon ne, bhai mayi aur budhe bujurgo ne pujya Bapuji se bhagavan naam ki diksha lekar apanaa jeevan saphal aur unnat karane ki sahi disha pakad li hai.. Pujyashri Bapuji bole ki Ravivaar bhagavan sury ka din hai, ravivaar ki diksha se budhdi me ati shighrataa se prakash aayegaa..
Pujyashri Bapuji se mantr diksha lekar kewal bharat se nahi , balki vishw bhar se karodo karodo sadhak labhanvit huye hai..Mantr diksha se anginat laabh hai , lekin mukhya rup se hone wale 33 prakaar ke phayade jaanane ke liye LINK par click kijiye.. MANTR DIKSHA KE 33 PHAYADE

Pujyashri Bapuji ke bhakton dwara Manimaheshwar tirthkshetra me bhandare ki sewa ho rahi hai pichhale kuchh varsho se..un ke tivra sankalpon se aaj Sadgurudev ji Bhagavan  helicopter se manimaheshwar gaye ..

MANI MAHESHWAR

Manimaheshwar tirth kailash himalay me 1300 kilomiters ki unchaayi par hai..ye mandir varsh me kewal 15-20 din hi khula raheta hai..

Sakshat shiv swarup Pujyashri Bapuji kahete hai :-
Shiv ji to kailash me hai..lekin helicopter se kailash par jaane se shiv ji nahi dikhenge…. 🙂  jaise tv par aap sahi channel ka batton dabaayenge to hi vo chanel dikhayi deti , aise shiv ji ke darshan tabhi honge jab aap ke bhav us shakti se judenge..(friquency match hogi)..

Pujyashri Bapuji bole :-

shiv ji kaise satyanisth hai …

idam tirtham idam tirtham bhramantye tamasa janaa
aatm tirtham naa jaananti kut shanti priye?
shiv ji ne kahaa ‘idam tirtham idam tirtham’ kar ke idhar tirth hai udhar tirth hai aise jo bhatakate vo tamas vrutti ke karan bhatak jate hai, vo aatm shanti ko nahi paate..antaratma ke sukh rup  tirth ko nahi jaanate to un ko shanti kaise milegi?

apane bal se kitani bhi tirth yatra karo, manimaheshwar ko jane me kitani kathinayi se pahunchate,.. ratri ko oxigen ke kami se nind bhi nahi aawe.. aise  kitane kasht sahete phir bhi vo unchayi nahi  paayenge jo satsang se milati hai…ghar baithe bahot unchayi ko paa sakate.. baahar ki pahaadi ki unchaayi kuchh bhi nahi us ke aage!

OM SHANTII.

SADGURUDEV JI BHAGAVAN KI MAHAA JAYJAY KAAR HO !!!!!
Galatiyon ke liye Prabhuji kshamaa kare….

Explore posts in the same categories: Pujya Bapuji

Leave a comment