Burayi se bache…Ahmdabad satsang_live(3/1/08)

Thursday, January 3, 2008 ; IST:7PM
Ahmdabad ekant satsang_live

**********************************
Sadgurudev SantShiromani ParamPujya ShriAsaramBapuji ki Amrutwani :-

*********************************
….aisa kaam agar bhagvaan bhi karenge to bhagavan bhagavan nahi rahenge…aisa kam koyi mahatma bhi karenge to mahatma mahan aatma nahi rahenge , sadharan aatma ho jayenge….

..daksh prajapati vyavahar mey bhi daksh the..kayi praja paalako ke mukhiya the…daivi sampada hai, lekin “mai bada hun ” ye garv bhi hai……. shiv ji ko nicha dikhane ke liye yagya kiya…mayake mey satsang yagy ka aayojan hai to sati ji jane ko taiyar thi..shiv ji ne samjhaya ki tumhara jana thik nahi , daksh parajapati ke mann mey dwesh hai…lekin sati ji kahati hai ki mayake mey satsang yagy ka aayojan hai ..mai to jaa rahi hun…” to shiv ji dekha ki sati ko samajhane par jaa rahi hai to ..hoga wo hi jo raam rachi rakhaa…samjhane par bhi nahi mani to thik hai..shiv ji apane swaroop mey…shankar sahaj swaroop sambharaa..shiv ji apane nity shashwat shudhd budhdh swaroop mey samadhi laga kar baith gaye….lagi samadhi akhand apaaraa……shiv ji samadhi ke sukh mey ekaakaar…..jis mey raag nahi , dwesh nahi…shok nahi ,chinta nahi…apana nahi , parayaa nahi….sarvatr ek bramh…. Shit kal ke aakash jaisa nirmal hota hai aise nirmal shant swaroop mey bhagavan shiv ji samadhi lagaye….

…satsang mey jaate…sant ko aadar budhdi se pranam karate to bhi swarg mey pahunchane ka puny hota hai…satsang ke sthan pe jaate..hruday mandir ki jaha charcha karate aise sant ki wani ko sunate…sant ko aadar bhav se pranam karate to bhi swarg ka sukh milata hai…..

..bhrugu rushi ka shishy tha…..usaka naam tha shukr…shiv netr mey dhyan karate to unche bhav jaldi vikasit hote hai…shukr shiv netr  mey dhyan karate…use piniyal granthi bolate hai vaigyani , apan shivnetr bolate hai…jab koyi bhi shubh karm karate to akalwala bramhan(pandit) shiv netr pe tilak karata hai….usaki visheshata hai…jitana shiv netr mey dhyan ekagr hota hai to anjane mey ishtdev se sambandh jud jata hai….jaise sim card dalane se mobile ka sambandh network se jud jata hai…..to shukr ka ye kendr vikasit hua dhyan karate karate….(dono bhru madhy ke bich ka agya kendr)….ek baar badi khubsurat sundari dhyan mey dekhi, aisi sundari dharati pe hona sabhav nahi…wo swarg ki vishwachi apsara thi….vishwachi apsara dekhakar shukr ka mann lalacha gaya…dhyan mey baithe to wo hi apsara ko dekhe…nain ka chain chura kar le gayi kar gayi nind haraam ..aisi sthiti …to shukr yog bal se swarg gaye vishwachi apsara se gandharv vivaah (love marriage ) karane ke iraade se…swarg mey gaye to swarg mey devo ke doot hote hai…uname aisi kshamata hoti hai ki koyi yogi , japi swarg aate to doot unako pahechan jaate ki kaha se aaya hai ..kisliye aaya hai…jaise vakil ke paas bhi idea hoti hai ki client kaisa hai..isake baat mey dam hai ki nahi…..2 min baat karate to pata chal jata hai..to doot devatao ke mukhy dev indr dev ko jaakar bataya ki bhrugu rushi ka shishy dhyan mey swarg ki vishwachi apsara ke saundary ko dekhakar ve us pe mohit hai aur gandharv vivaah ke iraade se yog bal se swarg aa rahe hai….itani unchi tapasya ki parakshta pe pahunchakar usaka upyog is prakar kar rahe hai ..to unake sath kya salook kiya jaye……to indr dev bole ki unka iraada to halkat hai vishwachi apsara ke sath…….lekin ve aise rushi ke shishy hai jo aatma paramatma ke sthiti mey rahate…jo bhagavan mandir mey nahi, hruday mandir mey bhagavan ko dekhate..jisaki  satta se kan sunate hai jisaki satta se aankhe dekhati hai ..jisaki satta se mann sochata hai ..jisaki satta se bdhdi nirnay karati hai aise prabhu ko jisane paaya hai aise bhrugu rushi ka ye shishy hai..aise mahan  rushi ki sewa mey rahanewala shishy agar swarg mey aata to swarg ki punyayi badhati hai…isliye shukr ko aadar ke sath aane do…ye baat mai valmiki ramayan ke adhar mey suna raha hun….vashisht ji aur ram ji ke sanwad mey aata hai ki vashisth ji kahate hai…, “ hey ram ji , bhrugu rushi ke shishy ka arghya paad se poojan kiya..aur bole ki aaj hamara swarg paavan huaa..swarg mey mahan aatma ke shishy hone ke nate swarg mey ham aap ka swagat karate hai….satkaar karate hai…”
..ye to bhrugu rushi ke jamane ki baat hai …aaj ke jamane mey bhi lilaashah bapuji ka shishy ki baat kahata hu..  🙂  ..ek ladaka tha… ahmdawad mey aansumal naam ka ladaka raheta tha…usaki mahan lilashah bapuji ke prati aisi shradhda thi to aasaram bapuj ban gaye…aur lakhanau ke satsang mey bharat ke bhutpurv pradhan mantri 13 din ke raj karane ke baad satsang karane aaye the….un ko satsang se puny labh hua tha…paune 2 ghante satsang mey baithe rahe..phool haar karane aaye to ham ne kaha ki bhutpurv pradhan mantri 2 vachan sunaye…to bole… “ mai yaha puny prapt karane satsang sunane aaya tha…ek baar aisa puny panipat mey mila tha…(kaun bol rahe samajh gaye honge…)…phir bapuji ka ujjain mey karykram tha..shivratri ka mahotsav tha..prayatn kiye lekin nahi jaa paye….satsang mey jane ka bhi muhurt hota hai….puny hota hai, tab hi satsang milata hai..mera jarur koyi puny hai ..is janam ka nahi to agale janam mey puny kiya hoga to is satsang  ka labh mila jaha bhakti aur gyan yog pragat hai ..sarv dharm santha ka gyan sikha de aur agyan ko mita de aisa rashtriy kary hai…bapuji hamari aankh mey gyan ka anjan dalate…ham lagbhag apani punymayi sanskruti ko bhulane ka paap kar chuke the….bapuji bharat bhar yatra kar ke gyan ka anjan dalate…gyan mey jagaate…ujjwal bhavishy ki asha karate hai…mai yaha pravachan dene nahi aaya….mai satsang sunane aaya..apane hruday mey shanti karane aaya..gyan ka prakash paane aaya…badi shanti mili….nirasha aa gayi thi..desh ki sthiti thik nahi….rajniti ka marg ashudhd hai , shudhdi ka kam to satsang se hi ho sakata hai….rajniti milavat kam bhale hi kar le….lekin dudh ka dudh aur pani ka pani ….saty aur asaty…nity aur anity….tuchh aur mahan ki pahechan karane wali baat bapuji ne kahi …yogeshwar bhagavan jaise purusharth karanewale kaliyug mey bapuji hai..waha sharir ki saphalata ki baat huyi yaha prano ki saphalata ki baat huyi…bapuji ne bataya pani pite, bhojan karate ye sharir ki sampada hai…ye bhojan se mann mey vichar banate, budhdi mey nirnay banate..ye aatma ka vaibhav hai….ye bapuji ne kaha….(Param Pujya Sadgurudev shri atal bihari bajpeyi ji ke lakhauno ke satsang mey bole huye kuchh ansh apne mukharvind se bol rahe the…)”

paramatma ka vaibhav aur jivatma ka vaibhav  milata julata hai..paramatma ka vaibhav hai srushti , sansar aur jivatma ka vaibhav hai hamara sharir…..sharir badalata hai, sansar badalata hai….mati badalati hai gati badalati hai …lekin ek aisa koyi tatv hai jo sab kuchh badalane ke bad bhi nahi badalata wo humara aatma hai…aisi srushti badalati hai lekin jo nahi badalata wo paramatma hai…sansar paramatma ki jaat ka hai aur sharir jiv ki jaat ka hai…sharir aur sansar ki anityta jaan lo aur aatma paramatma ki nityata jaan lo to dono hath mey ladoo…  🙂  ..( sadgurudev ki jay ho!!!!!)

jisake jeevan mey sab kuchh hai aur satsang nahi to usaka jeevan vyarthy hai…rocks peller ne 29 saal ki aayu mey sade 4 karod kamaye badi company kharid li…khape kahpe ka yog isako bolate hai…53 varsh ki umr mey usaka itana samrajy ho gaya ki 90 hajar karmachari kaam karate..itane directaro ka, mittingo ka chintane mey bhuk mar gayi , nind gayab ho  gayi…doctoro ki team ne hath upar kar diye.. “ mr . rocks peller you will expire within six months.” Bol diya… rocks peller swami vivekanand ke sharan gaye….(vivekanand ne marg dikhaya) …khape khape mey ye hi sthiti hoti hai..kamayi ka 10 wa hissa daan mey aur  — hisaa sewa mey lagaao…aur jo 6 mahine mey maut ki daal galanewali hai usake pahale apane aham pe vijay paao…. Rocks peller ne sant ki baat maan li…jo mann budhdi khud ke liye ikaththe karane mey laga tha vaiyaktik swarth mey laga tha , ab wo dusaro ke bhalayi kaise kare aise planning mey laga..aatm dosh door karane mey laga…aisa kaam kiye..aisa santosh mila…yagy karate to bhavishy mey punyayi mile ..lekin sant ki baat mani to ab aur abhi puny milata…aisi shanti santosh milata…
dropadi ko puchha gaya ki mahalo mey rahene se bhi sheetalata shanti nahi , lekin 12 saal vanvas mey rahekar bhi  dropadi ke chehare par aankho  mey sheetalata aur shanti kaise..to dropadi ne kaha ki, “ vanvas mey apane dukh mitane ke liye vanvasiyo ke van jeevan ke dukhade sunati unaka samdhan karati..yathayogya sewa karati hun to aatmsantosh milata hai..us aatm santosh ki chamak hamari aankho mey hai…”

…dusare ka dukh door karate to  dukh-hari ka aatm santosh milata hai…dusaro ka dukh door karate to kisi pe meherbaniya nahi karate, ishwar ke daivi kary mey sahbhag lete isliye aanand aata milata hai…

Apane dukh mey ronewale
Tu kisi ke kaam ana sikh le..
Jindagi hai 4 din ki
tu dusaro ke aansu pochhana sikh le…

aap ke budhdi hai to sat-budhdi se dusare ke kam aao..aap ke paas gyan hai to gyan baat kar dusare ke kaam aao ..aap ke paas bhakti hai to bhakti se dusare ke kaam aao….vakil ki vidya ashil ke liye hai ..doctor ki gyan marij ke liye hai…..shikshak ki shiksha vidyarthi ke liye hai..apani jo bhi yogyata hai samaj ke liye hai …apani yogyata ko samaj ke heet mey lagaao to ye usaki samaj roopi dev ke prati sewa hai… “sharir mai hun” aisa manate unaka rasta bechaini ki aor le jayega….samaj roopi guldaste ko suwasit rakhane ke liye prayatn kare..samaj roopi dewata ki sewa karate to krupa hoti hai vikas hota hai..bilkul pakki baat hai ….

…to 93 ve varsh ki aayu mey rocks peller apane bhashan mey kahate hai ki ,  “mai 53 ve varsh mey maranewala tha …sabhi ke heet mey mann budhdi ko lagaya to aaj 93 ve saal ka mai tumhare samane khada hun…”…. Rocks peller aitihasik purush hai..sabhi jagah unake banaye garden, hospital, adi dekhane ko milate hai…maranewale sharir ke liye jite to phasate….jite ji amar ishwar ke liye shakti ka upyog vyaktitv ka vikas karata hai…koyi degree milegi tab karunga, isame dam nahi…..mohanlal karamchand gandhi jaise saty ki prapti ke dusare ke aansu pochhane mey lag gaye…hum ne apani yogyata ka upyog samaj ki sewa ke liye kiya..har vyakti ke paas karane ki shakti , janane ki shakti aur manane ki shakti hai….ye shaktiya sabhi ko janm-jaat prapt hai…janane ki shakti ka upyog raag dwesh  chhodkar karate to amar parameshwar ki shanti jaha se milati use janane ki shakti milati… manane ki shakti ka upyog karate to jaha se manyata aati hai us paramatma ki shakti paate..aur karane ki shakti se sharir sansar badlaata lekin jo nahi badalata uske liye karm kar ke samaj ko pahechante to karmyog se bhagavan ko paate….jaise maryada purushottam ram ne kiya….
(sadgurudev ne 2 kahaniya bataayi–(1) raja se budhi mayi ko nyay dilanewala bramhan ladaka aage chalkar maharashtr ka chief justice bana usaki kahani aur  ( 2) 2 mitro mey ek chalak mitr chalaki se shradhdawan mitr ko phasana chahata tha lekin  nyayadhish ke yogy  nirnay se shradhdawan vyakti ko nyay mila usaki kahani ….in 2 kahaniyo ke  dwara janane ki shakti manane ki shakti aur karane ki shakti ka sadupayog karane se samaj aur vyakti ka vikas hota hai ye samajhaya…)
..nyayadhish ne apane budhdi ka sadupyog kiya…sadbhav rakha..chay –pani mile aisa uddeshy nahi rakha, apani yogyata ka durupayog nahi kiya…is prakar janane ki shakti , manane ki shakti aur karane ki shakti ka sadupayog kare…to vyakti ka vikas hota hai….sewak apane jeevan mey uchch uddeshy banaye..karm ko bhog naa banaye….krushn bhagavan aur ram ji ne apne karm ko yog banaya aur ravan aur kans ne apane karm ko bhog banaya …apane karm ko bhog banaate to bhokta banate…apane karm ko bhog naa banaye…..tumhara aatma sat-chit-aanand swaroop hai , marane ke baad bhi raheta hai usamey tiko….khud daro nahi dusaro ko daraao nahi….apani budhdi , gyan , samajh sujhbujh se dusaro ka gyan , dusaro ki samajh badhaao….to vikas hi vikas…..aanand mey raho…apana swabhav aanand may hai….aisa hua , waisa hua karate to dukhi hote….sat aap ka swabhav hai …chetan aap ka swabhav  hai….aanand aap ka swabhav hai….isake viparit jo bhi jayega wo girega..dukhi hoga….(sadgurudev ji ki aagya se ajay mishra ji ne apane baare mey aur kshitij soni ji ke baare mey anubhav bataye…)

Hari OOOoooooooooooommmmmmm(hari om ka plut uchcharan 5 baar hua…) om om om om om aanand ..om om om om om madhury..om omomom shakti..om omomom bhakti….om omom om prabhu ji pyare ji har har mahadev ha ha ha ha ha (bapuji hasy karavaye   🙂  )
Om namo bhagavate vasudevay…priti devay…bhakti devay…madhury devay….mam devay….om namo bhagavate vasudevay…
Om namo bhagavate vasudevay…hari ommmmm…..prabhu ommmmmmm ( sadgurudev ji ke sath bahot aanand may sankirtan ho raha hai..)

Priti purvak ….us chetan swarop ka samiran….gopal hare…  “ go” mane indriya….jisake dwara indiyo ka palan hota hai wo gopal…jisase antar ke paap taap door hote aur indriya pusht hoti wo gopal….parameshwar….govind hare….gopal hare…jay jay prabhu din dayal hare…aatmaram hare..sukhdham hare..jay jay prabhu din dayal hare…prabhu dev hare ..gurudev hare..jay jay prabhu din dayal hare….

Om shanti..om aanand…..prabhuji om…pyare ji om…

..ye nahi sochana ki koyi darshan dega…..tum bhakti karoge aur bhagavan darshan denge is bharam mey nahi bhatako….wo ab bhi hai….wo sarv dukh nashak hai…apalak satta ke sath dekh raha hai….kahi jayenge …kuchh karenge to dev aayega aur tab bhala hoga aisa mat sochana…..aisa ho jaye to sukhi ho jaau..waisa ho jaye to sukhi ho jaau….isamey thagoge…..maroge agyan mey…..ab bhi wo aatm dev hai..sat hai..chetan hai…us ki smruti , us ka gyan paa lo baas….raag se prerir karm naa karo…dwesh se prerit karm naa karo….prabhu priti ke liye karm karo..karm yog ho jayega….mala ghumati rahi , thoda bahot puny hoga…lekin 84 ke phere se ghumate….kitane mandir ghumate lekin ye galati karate..maan maraatab chahate…mai vishesh karu chahate..yahaa hi galati karate….kisi ke najaro mey achha dikhu ye chinta chhodo…apane andar achhayi dhundho..raag dwesh chhodo….khichaa –taani chhodo…prabhu ke liye karm karo  to wo prabhu dekh rahe hai…ye aisa nahi karata, wo waisa nahi karata…ham hamara kaam dekhe….ham dwesh rahit ho, ham kapat rahit ho…sabhi kapat rahit ho jaye sabhi burayi rahit ho jaye ye to bhagavan ki bhi taakad nahi…lekin ham kapat rahit ho jaye, ham burayi rahit ho jaye ye apane mey taakad hai…ye mere hath ki baat hai aisa karo to baas ho gaya kaam… 🙂  ….kapat rahit, dwesh rahit, burayi rahit hote to sadgun khilenge….suraj ugata to suraj mukhi ke phool khilate aise burayi rahit hone se sadgun khilate hai….jhuth, kapat, burayi kya hai ye sab ko pata hai….sab janate hai kya karana hai…achhayi naa kare to bhi thik hai , lekin burayi naa kare…burayi se bache…

Hey prabhu aanand data….(ye bhajan ho raha hai..)
Aanand mangal karu aarati…(aarati ho rahi hai…)

Om Shanti..
Hari Om! Sadgurudev ki jay ho!!!!!
(galatiyo ke liye prabhuji kshama kare..)

Explore posts in the same categories: Uncategorized

2 Comments on “Burayi se bache…Ahmdabad satsang_live(3/1/08)”

  1. Naveen Tirthani Says:

    Sadho Sadho, great seva. Aapki typing speed ka sadupayog kitne logon ka mangal kar raha hai…Gurudev hi jaante hai.

    Sadho Sadho
    HariOm

  2. Shubham Says:

    Aap kripya isi tarah guruji ke pravachan likhte rahe


Leave a comment