Kaliyug me Satyug kahaa hai?

Bramhagyani Santshri Parampujya Asaram Bapuji

16-19 August 2010

इस सत्संगअमृत समाचार को हिंदी में पढ़ने के लिए कृपया यहाँ पधारे : “कलियुग में सतयुग कहाँ है ?”

bhaarat koyi gaajar muli hai jo koyi bhi chabaa ke legaa?
kitani kurbaani ke baad aajadi mili hai..ab ham apane desh ko gulaam hone se har kimat par bachaayenge…
in dharmaanatarn walo ne kayi desho ko gulaam banaa dala, kayi sanskrutiyon ko kuchal daalaa..
Rom ki sankruti, Unana ki sanskruti , Misra ki sanskruti kuchal di..
bhaaratiy sanskruti ko kuchalate kuchalate kuchalane wale kuchale gaye maut ki khaayi me..

abhi tak jhandaa phadak rahaa hai..

Jogi re par jhumataa Gwalior

videshi dharmanataran wale paisa dekar hindu santo ka ulata sidha prachaar karaate is se hamaaraa kya bigadataa hai?

Pujyashri Bapuji se saarswaty mantr lekar kayi bachche honhaar huye hai chamcham chamak rahe hai ..pujashri bapuji se prerit gurukulon me garib , kamjor jin ko vitamino ka khuraak nahi mila hai aise kamjor vidyarthiyon ko bharati kar diyaa…gurukul me un ko khana-pina achhaa dete, tulasi ke patte khilaate, pranayam karaate to  100% result aayaa! board ki pariksha ame jitan ebhi vidyarthi gaye sab ke sab claas one me paas hai…
ye dekh kar mishanariwalon ko tention ho gayaa..
isliye unho ne sab saajish ki..
hindu dharam Unaan , Mistr aur Rom jaisaa nahi hai ki us ko dharamanataran wale daboch de…hindu dharam me mahaprushon ki anubhuti hai  aur vaidik shashron ka khajanaa hai….
hindu dharam ko mitaane wale is duniya se mit gaye, hindu dharam nahi mitegaa.
dharamaanataran wale jo gaay ka maans khana sikhaye, sharab pina sikhaye vo ham ko dharam kya sikhayenge? vo to hindusthaan ko todanaa chahate hai, ham kyo tute?

dharmanatarnwale  hindu dharm ke netaao ko ladaane ka kaam karate chaanelo ke dwara..akhabaar ke dwara..ham kaahe ko aapas me lad mare?

800 karod rupiyaa bharatiy sanskruti ko nichaa dikhane ke liye paas huye hai..us me 62 karod pujyashri bapuji ke pichhe lag gaye…

lekin bapuji ke satsangi to jhuthalaaye nahi jaate
kadam rakhate aage to lautaaye nahi jaate..




pujyashri bapuji ke satsangi to bapuji ke sath hai , lekin kayi print mediyawale aur electronic mediyawale bhi to   bapuji      ke      sath hai…jo bapauji ke vachan ghar ghar tak pahunchaa rahe hai..


Pujyashri Bapuji ka helicopter se aagaman

15 August 2010 ko  jhansi satsang ke baad Bramhagyani Pujyashri Bapuji ki lok kalyaan ki divy amrut varshaa raajasthan aur madhy pradesh ke kayi sthanon ko pavitr karati chali jaa rahi hai….
Mau-Ranipur, Chhattarapur, Gwalior, Uraii, Bharatpur , bayaanaa, Gangaapur, Newaii aise kayi sthaano ki dharati ko pujyashri ke paawan charan kamalon se dhany huyi , lakho lkah log darshan satsang se laabhanvit huye ….
Pujyashri Bapuji to lok kalyaan me din raat lage huye hai….ek ek din me 5-5 sthanon par satsang karyakram de rahe hai…kahaa chhattarpur pakisthan ki border par to  kahaa bharatpur naimishaarany ke paas…kahaa gangaapur to kahaa newaii…lekin pujyashri bapuji lagaataar yaatra karate huye logon tak param kalyaan ka divy sandesh pahunchaa rahe hai…

Pujyashri ki Saadagi

…Pujyashri Bapuji ke hruday me to sab ke liye karuna , dayaa ka jharanaa bahe rahaa hai..ku-prachar walon ke liye bhi pujyashri saadagi se kahete hai ki,

“HAM TO SAB KA BHALAA CHAHATE HAI!”

mai to madhy pradesh sarakaar ke shiv raaj singh aur un ke sathiyon ko 2 baar shaabas aur 3 baar dhanywaad deta hun…ki garib gurabon ke
liye 5 rupiye me bharpet thik thik poshtik bhojan ki jo vyavastha kiye hai us ke liye!
agar mujh se mile to mai bhi us me sewa karungaa…madhy pradesh sarkaar ye bahot achha kaam kar rahi hai..
mahengaayi ke jamaane me garib gurabon ke liye bharpet bhojan athava 6 phulake aur sabji aadi ka jo yojanaa hai vo bahot achhi hai.
gwalior bhopal aadi jagah me ham ne suna hai.
aur jagah bhi kholenge to ham bhi un ke sath rahenge…
hamaare sewak bhi un ke sath ho jaayenge..
garib gurabon ki , desh wasiyon ki koyi bhi sewa karata ho imaandari se to ham un ke sath hai….aisa jo bhi sewa karate hai vo hamaare
bade bhai hai…chahe vo 25 saal ke hai , lekin vo mere bade bhai hai …imaandari se sewa karani chahiye…khali akhabaron me chhapawaa
diya aur dekho to koyi thikana nahi aisa nahi ho….sachamuch me sewa hoti ho to vo neta chahe 25 saal ka ho to bhi mera badaa bhai hai…

..pulice me bhi aise kayi ratn hai , jo satsang sunate hai , auron ko sunaane me bhagidaar ho jaate hai..
media aisi hai media waisi hai bolate , lekin media me bhi kayi aise nar-ratn hai ki apanaa aham bhul kar bhid ke sath ghul mil kar baith
jaayenge…dhakke-mukke lagate hai to kya hai!bhakto ke dhakke hai -amrut hai!..media me bhi aise nar -ratn hai …isliye to sansaar
chalataa hai…

manushya jeevan me agar satsang nahi hai to manushya jeevan pashu se bhi vyarthy hai ..

jis se tum kabhi alag na ho sako us ka naam bhagavan hai…us ka naam aatma hai- paramaatma hai ..
aur jis ko tum kabhi sath na rakh sako us ka naam sansaar hai…

jis samay saty swarup iishwar ki charchaa hoti hai, sneh aur sahaanubhuti hoti hai …vikaari sukh ke binaa kaa aanand milataa hai vo

satyug hai ! is samay prakruti me bhi satyug ki suwaas aa rahi hai ..
kriyaaye aur prayog hai to dwaapar hai..lobh -laalch hai to treta hai…kalah -chhina-jhapati aur dosharop hote to kaliyug hai….
IS SAMAY SAT-YUG HAI…

ek hota hai sansaari sukh -jo parishram se milataa hai, aur paap karam ki taraf dhakelataa hai.

dusara hota hai bhakti ka, kirtan ka, sumiran ka sukh …vo chinamay sukh hota hai..paap mitaataa hai…shanti aanand sadgun deta hai vo

bhakti ka sukh hai..

tisaraa hota hai shanti ka sukh …vo jyada samay tikataa hai aur budhdi ko vilakshan chaityany swabhaav se bharataa hai…

aur chauthaa hota hai ki shanti ke sukh ka upbhog na kare , lekin shant swabhaav me ni:sankalp rahe to aatm paramaatmaa ka sukh aur moksh
ka anubhav karaataa hai..aur anant anant yogyataaye bharataa hai..

koyi school college me ek din bhi nahi gaya aho ,lekin bhakti dhyan ke sukh me aage badh jaaye to padhe huye ko padhaa sakataa hai…
ek kaudi paas me nahi hai aisa nirdhan hai, lekin dhanwaano ko daan kar sakataa hai…
ek vyakti bhi nahi pahechaanataa hai..lekin kayiyon ko pad, pratistha,rajya de sakataa hai…aisi shakti sab ke andar chhupi hai..

gwalior ke aaspaas ki mitti ka saput baiju baawaraa guru ka pyara thaa..bhagavan shrikrushn ko sakshat pragat kar liya tha , guru ji se
vardaan paaya tha…aisa baiju
jis kisi ko kuchh sunata sikhata to apana aatma samajh kar aise mai bhi aap k apanaa aatma samajh kar hi bolata hun..
aap ko aisa nahi lagataa hoga ki bapuji ham se kuchh lene ke liye try kar rahe..

mujhe kisi se kuchh nahi lena hai..bhagavan se bhi kuchh nahi lena hai….aisi chij mujhe mere guru ne de di hai..

bhagavan jis se bhagavan hai us bramh paramaatmaa ka gyan guru ne de diyaa hai …

vrindaawan me haridaas maharaj ke paas sangit vidya sikhane gwalior ke paas ke chandosi gaanv ka 10 saal ka bachchaa aayaa tha…guru ne
sweekar kiyaa bas baat puri ho gayi..
..baiju raat bhar vrudawan ke galiyon me bhatake…shrikrushn ki bansi ki dhun sunaayi padati…subah guruji aaye to baiju soye mile…
aur udaaraatmaa gurudev pad banaa banaa ke us ko jagaate..
‘aie baaware jaag bhor bhayi..’
to baiju ka naam pad gayaa baiju baawaraa…
10 saal ke baiju ka guru ne haath pakadaa hai, kaisa bhi baiju mera hai ..baat puri ho gayi….diwali ke dhan teras ki puja ho rahi hai aur
baiju subah dhan teras ko bhi so rahaa hai ..jagaa to sahi lekin aankhon me pyaas hai..tadapati huyi aankho ne dhan teras ki raat ko
shrikrushn ko pragat hone me baadhy kar diyaa..bansi to sunaayi padati lekin bansidhar kahaa hai…jahaa se aawaaj aayi wahaa khinche chale gaye…aawaaj band ho gayaa..
dekhaa ki vruksh pe wahaa shrikrushn hai..mai kaise pahuchungaa?….murchhit se ho gaye baiju…
shrikrushn ne uthaayaa baiju ko….mere liye tu baawara ahuaa to mai bhi tere liye baawaraa hun…
sansaari chijo ke liye koyi baawaraa hota to sansaari chij us ke liye baawaraa nahi hoti…
lekin manushy ek -dusare ke liye baawaraa hota hai aur aatma-paramaatmaa bhi ek-dusare keliye baawaraa hota hai…baiju is baat k pakad lenaa…

baiju bole, mere guruji ke paas chalo..unhi ki krupa se tum mile ho…
guruji ne darshan kiyaa .. bole , ‘baiju tu baawaraa nahi hai, tujhe baawara kahenewale bhi baaware hai..lekin isi naam se beta tu prasidhd ho aur tujhe sari vidyaaye hastgat ho…’
baiju baawaraa jis kisi ko bhi kuchh sikhaataa , sunata to apana aatma samajh kar…

(pujyashri bapuji ne gwalior ke saput haridaas guru ke su-shishy baiju baawaraa aur taansen ki kathaa sunayi… puri katha sunane  ke liye krupayaa yaha apadhaare..)

1) HEALTH

in dinon me(baarish) sham ko 2/3 harad goli chuse, taaki khana sab hajam ho jaaye.
jin ka khana thik se hajam nahi hotaa un ke kande pakade rahete, sharir me dard raheta hai..
aise log bhojan ke samay ek glass gun gunaa paani jaraa si sonth milaa ke  rakh de..bhojan ke bich 2-4 ghunt pite pite bhojan pura hone ke

pahele vo pura glass pani bhojan ke sath pet me jaaye, aisa kare…
adha hissaa pet bhojan se bhare,
chautha hissa pet pani se bhare,
chautha hissa pet khali rakhe..

jo thaas ke khaate un ki tabiyat gadbad raheti hai ..
bhojan ke sath jo pani nahi pite vo bimari ko bulaate hai..
jo fridge ka pani pite vo mandagni bad haajami ko bulaate hai ..fridge ka pani to  koyi rupaye de upar se to bhi nahi pina chahiye…
firdge ka pani – mandagni karata
-gas ki bimariya karata
-paachan tantr kamjor karataa hai.
– kamar ke dard aur sir ke dard paida karataa hai.

mobile phone aur fridge ka pani dushman ko bhi na do jyada.

shaadi vivaah me aata gundate jaate, samse banaate jaate aur usi samay naak saph karate athava khansate aur waise hi hath se aata gundate…chhi!…halavaayi ke hath ka khana tabiyat ke liye aur pavitrataa ke liye nuksaan kaarak hai…

bhojan kare, pani piye  tab bhi gurumantr padha kar , bhojan/pani  ko dekh kar us k pavitr kar ke phir bhojan kare athavaa pani piya
kare…

2) VIDYARTHI VISHESH

parikshaa ke dinon me chaay pikar /coffi pikar jag  kar padhane wale bachche bewkuf hote hai…murkh hote hai…kabhi bhi raat ko der tak jaag kar nahi padhanaa chahiye…subah jaldi uth kar padhe 1 ghantaa t rata ke 5 ghante jaagane se jyada heet kaari hai..
saaraswatya mantr ka jap kar : “om aem namah”
phir “om” ko dekhe aur paper likhe..apane aap badhiya amark aate hai.

3)gandi filme athavaa gande logon ki dosti , un se hath milana un ke hath ka khana nuksaan kaarak hai…

4) maayiyaan apane bachchon ko dauble-roti(bread/paav), biscute, chaya coffi dekar un ka pet kharaab mat karo….un ko tulasi ke 5-7 patte chabaane ko de, paani piye..to pet ki sari takalif dur hongi.
sury narayan ko arghya de.aankhe band kar ke bhrumadhy me sury narayan ka dhyan kare to bachche budhdimaan ho jaayenge.
sury narayan ka dhyan nabhi me karenge to swasth ho jaayenge.

5) BACHCHE ROBOT NAHI !

15 saal ki beti aur 16 saal ka beta ho jaaye to un k mitr ke naayi jabaab do….apane bete hai isliye rok tok karge to tumhari baat un ko lagegi nahi , dusaron ki baaton me aakar tumhare liye un ki sad-bhaavanaa sukad naa jaaye isliye un se pyar se vyavhaar karo.
ladaki hai- maanati nahi -aisa karati -waisa karati..aisaa na toke..15 saal ke baad vo saheli hai, ladaki nahi hai….16 saal ke baad beta nahi , mitr hai…
aap ne dekha hoga photo ki mai narayan ke kandhe par haath rakh ke mitr-vat baat karataa hun…vo  bhi mera aadar karataa hai…mera beta mera rasoyiye ka bhi kaam kar lega, jhadu lagaane wale ka bhi kaam kar legaa..secreatry ka bhi kaam kar lega aur meri maa ka kaam bhi kar legaa..khana bhi banaa legaa! mai us k maa bhi bolataa hun.. 🙂  “maiyaa kahaa gayi?”
bolataa , “aa gayi!” aisaa bolataa hai !
aisi dosti hai hamaari … 🙂

bete ke sath dost ban ke vyavahaar karanaa chahiye.
beti ke sath saheli ban kar vyavahaar karanaa chahiye.

betiyon ko jyada toko mat..samajhaa do ki galati hai to beti tu achchhi hai, lekin tu film dekhati to tere man me aisa aisaa aataa… tu to bahot achhi hai, jo us ka gun ho us ka bhakhaan karo…aur aw-gun ho to bolo ye tere me nahi , tere man me hai -himmat kar ke us ko nikala de…aisa pyaar se samajhaaye…
tu to aisi tu to waisi bologe to lover loveriyon ke chakkar me padegi…

bachchon ko jahaa pyar milataa hai wahaa ve jhuk jaate hai…
sab ko pyar ki pyas hai.
tumhaare bachche koyi robot to nahi hai, machine to nahi hai…
un ko aap ke sneh ki, sahaanubhuti ki , pyar ki aur sujh -bujh ki jarurat hai.daant phatakaar jyada nahi.

5) MAHILA VISHESH

mahine me 5 din mahilaye mala nahi pahenegi, mala nahi ghumaayengi. “omkaar” ka mantr chhod kar jap karegi un dinon me.
jaise om namah shivaay hai to “shiv shiv” 15 minat karengi , binaa mala ke.
“hari om ” mantr hai to “hari hari hari hari”

“om guru” mantr hai to “guru guru guru guru..” aise karanaa.

“om aeim namah” mantr hai to “aeim namah namah aeim namah namah…” aise 2-4 baar namah  1 baar aeim aise 15 minat karanaa….

mahilaaon ko masik dharam me omkar ka jap nahi karanaa hai.

6) MALA SHUDHDI MANTR

shauchalay me mayi -bhai koyi mala nahi le jaaye to achhaa hai.
agar galati se mala rahe gayi hai to mala saheet snan kar le.
phir mala dho kar mantr bole “maale maale mahaa maale paatak nashini , isht daayini”  aisa kar ke mala gale me dharan kar lena.

mala japate japate tut gayi, mala ke daane bikhar gaye to nayi mala tod ke us ke daane purani mala me milaa kar  108 ki manako ki ginati

puri kare- usi purani aur nayi mala ko milaa kar  108 ki ginati puri kare..kyo ki jis mala par guru mantr ka bhagavan naam ka jap huaa hai

vo mala hajaaro lakho rupaye se bhi jyada kimati hai..
vo mala pahen kar kahi bhi jaayenge to aap ka anisht nahi hoga..
isht mantr ki mala aap ke paas hai, sab ke bhale ki bhaavan aap ke paas hai to apa ka koyi bura nahi kar sakataa.

7) ACCIDENTS CHE BACHE

ghar se nikalate samay accident na ho jaaye, aatank na ho jaaye aisa jin ko bhay hai to prabhodhini ekadashi ke din karpur se bhagavan

narayan ki aarati kar lo…to akaal mrutyu se rakshaa hogi…athavaa roj ghar se nikalane se pahale ye mantr 3 baar bole kar phir ghar se nikale to rakshaa hogi, yatra nirvighn hogi.

Om Tryambakam Yajamahe Sugandhim Pushtivardhanam Urvarukamiva Bandhanan Mrityor Mokshiya Maamritat

8)HIGHT BADHAANE KE LIYE

bachcho ka kad badhane ke liye 3 billi aptte aur 1 kali mirch chabaa ke bachche khaaye..to bachche kadaavar honge..
bachcho ko aur heem-sam karanaa hai to khanij bachcho ko mile ..katahal me khanij khub hotaa hai..isliye bachcho ko katahal khilaaye…maa

-baap chahe thingane ho , lekin beta betiyaa ekdam kadaavar heem-sam ho jaayenge…

satsang se kitanaa bhalaa sahaj me ho jata hai ! 🙂

latest jogi re bhajan (shri suresh maharaj)

pUJYASHRI FROM NEWAII

laal na pila hara na nila prem ka rang nirala
bin dipak bin baati ke mera jogi kare ujaalaa

gyan tera ye jab se paya sab kuchh lage suhana
ab to pura jeevan jogi ke bhakti me bitana

param vaidy mera jogi hai jo rog aur shok mitaaye
sab ko pilaaye gyan ki aushadh sare dukh mit jaaye

hasate khelate samajhate hai sab ko gyan ki baate
satsang kar ke is jogi ka sab ke gam mit jaate

param udaar hai shubh gun kari jogi sankat nashak
sharanagat paalak mera jogi ye hai paap vinashak

chandan se mange bina hi jaise sab ko sugandh milati
aise hi jogi upasthiti sab ko shanti deti

PUJYASHRI FROM GWALIOR

adabhut hai is dar ke najaare dekha nahi sukh aisa
sare jag me dhundh lo mil ke koyi nahi jogi aisa

mrug jal se hai pyas naa bujhati yahi saty atal hai
bas jogi ka gyan hai sacha likh lo hruday patal pe

jag ki naa hai parvaa tum ko hi bhajanaa
tere gyan se mere jogi ham ko hai sajanaa

jahaa bhi le chaloge jogi wahi hai ham ko chalanaa
jo jogi mera bole ab to wahi hai bas karanaa

jagi jyot samajhi naa ab tak, ab naa hai bujhanaa
mere jogi ke kahene me ham ko hai bas chalanaa

saawan ke aane se jaise jhum uthe hai dharati
jogi jaise aaye is jeevan me samajho kismat chamaki

man ko mohanewala lagata jag ka jhutha pasara
asali sukh to hame dilata jogi hamara pyara

om shanti

SAGURUDEV JI BHAGAVAN KI MAHAA JAYJAYKAAR HO!!!!!
Galaiyon ke liye Prabhuji kshamaa kare…..

Explore posts in the same categories: Pujya Bapuji

One Comment on “Kaliyug me Satyug kahaa hai?”

  1. Aadi Says:

    I love u baapu ji,,,,,


Leave a comment