SADHAK SPECIAL: Hari Prabodhini Ekadashi Vishesh Satsang
Prabodhini ekadashi ki badhaayi ho!
aaj se sakaam karm shadi vivaah aadi sakaam ho sakate hai..lekin nishkaam karm ka badaa mahatv hai..ye kare to kya phal hoga?arre!..laukik phayde ke bina dusara koyi karm hi nahi kar sakate kya?
man mukh vyaktiyon ko sansaari paristhitiyon ka jitana dukh hota hai, utana shaashtr aagya maananewale ko nahi hota..manmukh aadami jitana mehant karataa hai sukh ke liye, us se bahot kum mehanat me saadhak log jyada sukhi rahete hai…manmukh logon ko jitana operation aur bimaariyaan sataati hai, saadhako ko utani nahi hoti.abhi saadhak log karpur ki aarati karenge..varsh bhar accidents se bach jaate.jo desh videsh me bhi aaj ke din (hari prabodhini-dev uthi ekadashi) karpur ki aarati karate vo akaal mrutyu se bach jaate aisa vachan diya hai shaasron ne..
aarati ho rahi hai- OM JAY JAGADISH HARE..
tribandh kar ke pranayam ho rahe..
sthul sharir panch bhautik hai..paanch bhuto se paida hota hai..dikhataa hai..vilay hota hai ..phir 5 bhuto me aakrutiyaa kahi bhi banati hai…
sukshm sharir bhi badalataa rahetaa swapno me aur vicharo me…kaaran sharir me nind aati hai..aur phir jagrut me aata hai… in 3no ko jaananewala jo chaityany aatmaa hai vo mai hun…mai bhagavan ka hun , bhagavan mere hai..bhagavan chaityany aatma hai , mai bhi un ka chaityany ansh hun…
jaise tarang pani hai, waise pani tarang to hai..aise hamaaraa aatma hai to paramaatmaa ka hai..paramaatma hi to hamaaraa aatma hai…
haad-maans ka sharir hum nahi hai..
kaam aata hai to bhagavan shiv ji ka dhyan karo.kaam man me aaya hai, kaam dahan ke liye bhagavan saamb sadaashiv ka dhyan karo…(kaam ko bhagaane ke liye ) shiv ji taandav nrutya kar rahe hai, us me man ko lagaao.. kaam bhaag jaayegaa…
agar krodh aata hai to bhagavan Narayan shesh shaiyya par lete hai ..Lakshmi ji un ki charan champi kar rahi hai…aur bhagavan yog nidra me hai..krodh aata hai to bhagavan narayan ka is prakaar chintan karo..krodh apane aap bhaagegaa..
is prakaar ek-ek vikaar aaye to ek-ek devataa ki jo visheshataa hai us ka chintan kar ke aap nir-vishesh narayan me chale aao..jis nir-vishesh narayan ki samaadhi se aaj bhagavan narayan uthe hai, usi ki jaat ke tum ho…jis me bhagavan samaadhist hote hai, us me shanti paane ka tum iraadaa kar lo..ye shaastr aagya-guru aagya maan lo..
bhagavan narayan ki shanti aaj vishw-vyapini madhurataa phailaati hogi..dhyan se uthe yogi bhi jab shant drushti se dekhate to jahaa tak un ki drushti padati hai, wahaan tak ke jivon ko shanti ka ehsaas hota hai..bhagavan narayan to 4 mahine ke samaadhi se uthe hai aaj …bhagavan narayan ki samaadhi ka asar yahaa bhi pahuncha hai…
hari ooommmm…….
narayan narayana shriman narayan narayan narayan narayan…
OM SHANTI.
SADGURUDEV JI BHAGAVAN KI MAHAA JAYJAYAKAAR HO!!!!!
GALATIYON KE LIYE PRABHUJI KSHAMA KARE…
November 24, 2010 at 11:29 pm
[...] See the article here: SADHAK SPECIAL: Hari Prabodhini Ekadashi Vishesh Satsang [...]
January 5, 2012 at 12:35 pm
… [Trackback]…
[...] Informations on that Topic: latestsatsang.wordpress.com/2010/11/23/sadhak-special-hari-prabodhini-ekadashi-vishesh-satsang/ [...]…
March 14, 2012 at 8:49 pm
… [Trackback]…
[...] Read More: latestsatsang.wordpress.com/2010/11/23/sadhak-special-hari-prabodhini-ekadashi-vishesh-satsang/ [...]…
March 20, 2012 at 12:32 pm
… [Trackback]…
[...] There you will find 65895 more Infos: latestsatsang.wordpress.com/2010/11/23/sadhak-special-hari-prabodhini-ekadashi-vishesh-satsang/ [...]…
March 22, 2012 at 9:24 am
… [Trackback]…
[...] There you will find 64656 more Infos: latestsatsang.wordpress.com/2010/11/23/sadhak-special-hari-prabodhini-ekadashi-vishesh-satsang/ [...]…
March 31, 2012 at 11:35 am
… [Trackback]…
[...] Read More here: latestsatsang.wordpress.com/2010/11/23/sadhak-special-hari-prabodhini-ekadashi-vishesh-satsang/ [...]…
April 12, 2012 at 12:33 pm
… [Trackback]…
[...] There you will find 73050 more Infos: latestsatsang.wordpress.com/2010/11/23/sadhak-special-hari-prabodhini-ekadashi-vishesh-satsang/ [...]…
April 17, 2012 at 3:24 pm
Trackback…
[...]whoah this blog is fantastic i really like reading your articles.[...]…