STAR NEWS MESSAGE :5th August 2008
STAR NEWS MESSAGE
PARAM PUJYA SADGURUDEV BHAGAVAAN JI NE STAR NEWS KE DESHBHAR MEY DIKHAYE JANEWALE LIVE SANWAAD MEY HUM SABHI SADHAKO KE LIYE MESSAGE DIYA KI,
“mere sadhako pe mujhe naaj hai ….
- ….aap sab apane apane jagah par rahe
- jap kare ..
- dhyan kare …
- kayi sadhu santo ke hruday vyathit hai ….kayi bade bade sanghatano ke hruday vyathit hai.. kayiyo ke samachar aate kayi apane pane ilaako mey sabha kar rahe…
- mai chahunga ki sulagati huyi aag ko koyi havaa naa de..lekin humhare sadhak sulagati huyi aag ko pani chhitak ke dhairy rakhe..
- ..bhagavan ke naam ka jap kare
- aur bhagavan ko prarthana kare ki humhare bharat ko todanewali shaktiyo ka ku-sankalp shant ho…….
- narayan narayan..narayan narayan..”
mere sadhako pe mujhe naaj hai …..kitana kitana kuprachar , suniyojit shadyantr, gapshup aur kitane kitane logo ke kalpanik bayaan lekar samaaj ko aur sadhako ko gumraah kiya gaya….
mujhe mere gujrath-vaasiyo par bhi bharosa hai… aur ahmedabad walo ko to mai achhi tarah jaanata hun …..gali gali ke log mujhe jaanate aur mai un ko jaanata hun….mere prati kisi ka rosh nahi hai ….aur
mere sadhak itana ku-prachaar hone ke baad sankhya ghatani chahiye ….aadami naraaj hokar chale jaane chahiye…us ki jagah aur sankhya badhi hai….ye ek baar nahi huaa.. aisa to kayi baar huaa hai( aphavaaye khub chali)… lekin dekha to badhotari huyi ..mai to aur bhi sanskruti ki sewa mey saphal ho rahaa hun….
aur saphalataa viphal-taa mere najar mey sapana hai
aur sab ke hruday mey rahetaa vo paramatma apanaa hai..
kisi jati kaa, kisi majhab kaa, kisi desh ka bhale hi dikhe lekin meri hruday se sab apane hai..
narayan narayan narayan narayan…..”
Ye interveiw 5August 2008 ko Star News ke well known sanvaad-data Deepak Parashar ji dwara liya gaya hai…to watch this interview please log on to
http://www.ashram.org/newweb/Home/RealTruths14.html
(……is vaqt hum aasaram bapuji ke aashram mey maujud hai… ashram rajokari, ..ye gudgaon ke paas delhi mey hai…. bapuji ke anuyayi bhi yahaa maujud hai….lakho karodo ki sankhya mey bapuji ke anuyayi hai……)
PRASHN :-
bapu jis tarah ke ghatanaa kram huye… aap sidhd purush hai..mann vyathit huaa..kahi JEE rone ko karaa …. kis kis tarah ke aarop huye.. 4 bachcho ki hatya ho jati hai…ashram ke log shuk ki nigaho se dekhe jaate hai…
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…aarop to hai hai….lekin massoom bachcho ke durghatana se
chitt dravit huaa…. phir ye aarop sunsun kar samaaj ke log vyathit huye dukhi huye ….un ke samachar aate hai….. bachcho ke sadgati ke liye prarthanaa karate karate dil bhar aaya aur ann-shan kiya taaki jaldi se jaldi is aandhi aur tuphan se sadhak gujare…..
humhara uddeshy :- … pichhale 46 saal ho gaye…humhara uddeshy kya hai?
- hamhara uddeshy ye hai ki aadami ka tann tandurust, mann prasann aur budhdi mey budhdi daata ka prakaash rahe..apani yogyataao ka vikas kare ..
- aur jo bichare garib anchalo mey hai un tuk bhi humhari sewa pahunche…
- 17 hajar baal sanskar hai ..ek paisa bhi fee nahi lee jati..humhare swayam sewak sadhak chalaa rahe hai..na lete hai, na dete hai ..phir aawshyakataa padi to posthik bhojan mile(to gurukul shuru kiye..) ..to khush khabari ye hai ki 3no gurukul jo pichhade area mey hai, board ki parikshaa mey bahot achha parinam laaye..adiwasi bachche aur 92%, 95%, 98% aur 100% result hai… ..!!
- is kaaran bhi kisi ko updrav karane ko sujhaa hoga ….kaise bhi huaa hai lekin masoomo ke sath …ab vo swayam nahaane gaye aur phisale aur us ko sunkar chhindwada mey mansikata aisi bani ki bachcha aisa karane se school band ho sakati hai….to aisa prachar se ye mansikataa aisi ho jati… to ye mansikata kaha jaakar rukegi?
- to aise media ka apanaa prabhav hai.. role hai…lekin MEDIA KA SU-PRABHAAV bhi logo tuk jaa sake….taaki chhindwada mey suni sunayi aisi ya dwesh mey jo bhi kaise bhi nimitt huaa to aisi ghatanaa aur schoolo mey naa ho, sabhi schoole humhare hi hai..
hum to chaaahate hai
bharatiy sanskruti ka prakaash, Ojj, prabhav vishw-maanav ko mile..”
PRASHN :-
bapuji aap par aarop lagaa ki chhindwada mey jin ki hatya ho gayi 2 bachcho ki (vedant aur ramkrushn)un ke pariwar walo ko aap ne bandhak banaa ke rakha tha..aap ke ashram mey rahete the wo……
Param Pujya Baapuji :-
“….haa bandhak banaa kar rakhaa hai to puchh lo…. ye vakil saamane khade hai….inhi ka bachcha hai..”
PRASHN:-
lekin ye mumbai se hai, ye pune se hai in kaa delhi mey kya prayojan?
Param Pujya Baapuji :-
kya prayojan ye bhi inhi se puchh lijiye..
(wahaa par ramkrushn aur vedant ke maataa pitaa maujud hai..)
PRASHN:-
aap ramkrushn ke pita hai?
Ramkrushn ke pita ka uttar :-
“…haa…. mai ramkrushn ka pita hun…mai mohan laal yadav.. peshe se vakil hun mumbai high court mey …mumbai mey rahetaa hun.. achhi shiksha diksha ke liye maine bapu ke gurukul mey mere 4 saal ke ramkrushn ko admission karaya tha…kyo ki mai 15 saal se judaa hun…mujhe jo shanti mili , jo gitaa ka gyan mila, bharat ki sankruti ka gyan milaa hai to maine ye socha ki mere bachcho ko bhi 4 saal ki umar se hi mile isliye maine admission karaaya tha….”
PRASHN
aap ko koyi shikaayat nahi hai against management?
Ramkrushn ke Pita ka uttar :-
“NAHI, mujhe ashram se aur management ke yaa gurukul ke prashaasan ke against kuchh bhi doubt nahi hai….”
PRASHN:-
(Vedant ki maa ko)
aap ko dukh nahi huaa….aisa nahi lagataa ki kahi ashram jimmedaar hai is puri chij ko lekar….
Vedant ki MAA ka uttar :-
“….NAHI, bilkul nahi..vo to us ka prarabdh hi utanaa tha..jitani vo saanse lekar aaya tha usi mey us ka ho gayaa….
.. us ke baare mey mujhe gurukul par, gurukul prashaasanwalo pe ,yaa ashramvaasiyo par , samarpit mere bhai baheno se jaraa si bhi shikan nahi hai…..”
PRASHN:-
ye bachchi aap ki hai? kahaa par padh rahi hai?
“…haa , ye meri bachchi hai ..ye bhi gurukul mey padh rahi hai abhi …ye to nursery mey hai , chhindwada mey hi hai..un dono ko sath mey hi daale the..”
PRASHN(sadgurudev se):-
……3 tarikh ko bachche missing hai maloom padaa …4 tarikh ko ashram ka approch casual tha ..rath yatraa dekhane gaye hai…ye casual approch kyo rahaa?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….nahi nahi 3 tarikh ko bachche sade aath baje nahi paaye gaye to paune nau baje un ke maa baap se milane chale gaye aur un ke pariwaar wale aur ashram wale bachcho ko khojane mey lage the..bilkul pakka samachaar hai waha se puchh bhi sakate hai…”
PRASHN:
……jaha body mili waha aasani se pahunchaa nahi jaa sakata , kisi bade vayask ke sahayog ke binaa nahi pahunch sakate…
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….mai to vo jagah nahi dekha hai….jahaa se mile waha log nahaate hai , jaate hai, aate hai…. aur un bachcho ke shavo ko pahele waha ke machhwaaro ne dekha..kheti karanewalo ne dekha…aur kisi aane jaanewale ne dekha…us ne ashram ko khabar diyaa… asharm ne pariwaar ko khabar diyaa, pulice ko khabar diyaa..aur us samay kisi ne waha chudiya baal-waal rakhe.. taaki is ko uchhalne ke liye prabhavshali rahe.. ‘tantrik tantrik’ kar ke ashram ko badnaam karane ka mauka unho ne dhundhaa…varana ashram aur ird gird ke 40km tuk koyi tantrik nahi hota hai….ye uchhalane ke liye saajish ki gayi hai…
ye durabhagy purn ghatanaa ghati 3 ko /5 ko..us ka rosh 6,7,8, 9 ko nahi huaa..aur gujarat ke log roshile nahi.. rajniti karane wale kare, vo un ki baat hai…..lekin ghatana ghati 3 tarikh ko aur jor pakadaa 18 tarikh ko…. humhare hruday mey kisi ke liye napharat nahi hai..”
PRASHN :-
aap is ke piche jarur kuchh shadyantr dekhate honge..ghatanaa ghati 5 tarikh ko AUR rosh huaa 18 ko…lekin mera prashn hai ki 13 tarikh tuk aap ka koyi statement nahi aaya..aap kyo khamosh rahe?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…haa..hum waha the nahi..hum busy the , vyast the karykramo mey…jab humhare tak khabar aayi ki aisa aarop chal rahaa hai tantrik ka to hum ne manch se hi bola tha ki humhare ashram mey koyi tantrik nahi hai ….pichhale 40 – 44 saal se samaaj ki sewa karate hai ..humaraa marg gita bhagavat upnishado kaa hai ..satvik hai…yahaa tak ki hamaare ashram mey pyaj lahesun bhi nahi chalata to hum itanaa krurataa ki sadhana naa karate hai, naa jaanate hai.. isliye maine bhaav mey aake kaha ki agar ashram ke aadami ne kiya ho to us ke badale mey mai phansi pe chadhataa hun… itana mujhe garranti hai… tasalli hai….”
PRASHN:-
aap ko tasalli hai lekin abhi humhe khabar mili ki aap ke asharm ke 2 sewak ki lie detective taste ki jaa rahi hai….
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…haa karane do….pulice ko sahayog dene ki baat hum jaanate hai….kayiyo ko kar chuke hai….”
PRASHN:-
lekin abhi tak kuchh mila nahi..?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“mila nahi aur milegaa bhi nahi…..!!”
PRASHN :-
to aap ko kya shak hota hai bachche waha kaise pahunche?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…nahaane ka shok to bachcho ko hota hai aur us raaste ghumane to jaate the…ab sade aath baje(8.30PM) sanchalako ko dikha ke bachche nahi hai…to 5/6 baje chale gaye ho… ho sakata hai…(dusare) bachcho se maaloom huaa ki bachche bolate the, ‘hum ko rath yatra dekhene jaana hai hum ko car lene aanewali hai’…bhagavan jaane…. mai waha tha nahi ..suni sunayi baat par mai kuchh bhi comment karu mere ko achha nahi lagata..”
PRASHN :-
…..13 din baad violance hota hai- valid point hai..is shadyantr ke khilaf kaun log hai? Kaun hai ashram ke khilaf?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…..sab ka mangal ho!…. hum kisi ka naam ujaagar kar ke un ko vo nahi karana chahate….
pulice jaanati hongi ..sarkar bhi jaanati hogi….karanewale bhi jaanate honge..mai jo jaanata hun wo hi bolungaa…..
jis ne diyaa dard uska khuda bhale kare
ashiko ko vaajib hai ki yehi phir se duwaa kare….
baki to humhare lakho karodo log pidit hote hai ….bachcho ki pida mere hruday mey bahot badh gayi…. isliye maine ann-shan kiyaa tha….narayan narayan narayan narayan….”
PRASHN: -
…….aap ne un ko(18tarikh ko sadhako ko) bhadakaau bhashan diya tha..ek sant ka bhadkaane ka kya kaam?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….sawaal hi paidaa nahi hota..mai to jo bhi bolata hun 4-4 camere lage hote …. bhadakaun bhashan ka ek bhi shabd hota to dikhaao…
mai to hath jodkar bolata hun, ‘bhagavaan sab ko sadbudhdi de…sab ka mangal ho, dhiraj se raho’…… agar bhadakaun bhashan aaj bhi dun to dekho desh bhar mey hamaare saadhak ki pida sadako pe aa jayegi..
agar bhadakaun bhashan dete to aaj tak itanaa sahe rahe…. chup ho rahe hai….. dekhate ki ‘asaram bapuj ki phansi’… ye dikhayaa jaa rahaa hai…kitane log vyathit ho rahe.. pidit ho rahe..
hum to koyi bhadakaau bhashan dete nahi..saajish karanewale karavaa rahe…….”
PRASHN :-
sawal ye hai ki aap mahatma..ek sadhu ..ek sant… jaanemane pravachankaar…satsang karanewale….. karodo aap ke anuyayi hai… aap ke khilaf kaun saajish karega?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“……humhare khilaf vo saajish karenge ki
- hum bharatiy sansktruti ko unnat dekhana chahate..
- hum bharat ke bachche bachche mey tann tandurust, mann prasann aur budhdhi mey budhdi daata ki shaktiyaa vikasit dekhanaa chahate hai …
- to humhare desh ki garima unnat karane mey apana tann, mann, jeevan lagaayaa hai ….
- aur humhare lakho lakho sewak bhi lagaa rahe hai..
- to ekdum unnat bharat ki disha dekhakar jin ko pidaa hoti hogi vo log karate hai….”
Prashn
..lekin Ahmedabad ka pariwar(baghela) wo aap ke sath kyo nahi aaya?balki unho ne aap ke khilaf bayaan diye…
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….ab koyi kisi ko kuchh bhi maintain kar ke bayaan dilavaye kuchh likhavaa de..is mey mera to kasur nahi hai..
mai 17 tarikh ko raat ko pahunchaa..maine ann jal nahi liya..upwas jaisa raha..18 tarikh ko subah gurupoonam ke liye lakho log aaye the , itane sadhak aaye the… mai waha nahi gaya….usi pariwaar ke paas gaya.. us mey ek pariwar to mere se close hai.. bahot shradhda bhakti se maanata hai… dusare pariwar ko mera parichay nahi hai…. lekin phir bhi unho ne aadar se bithaaya….
waha se jab vida huye to maintain kar ke kuchh jalaa julaa ke dikhaya ki bapu jo gift lekar aaye the us ko jala diya..mai kuchh gift lekar hi nahi gaya to jalayenge kya?
..mai tulasi ka guchha leke gaya tha..phir bhi koyi updrav kar ke , maintain kar ke updrav paida kare to mai kis kis ko rokunga..”
PRASHN:-
…..to ye maintain aur updrav bapu kyo ho raha hai?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…..vo hi baat hai na…..!”
Prashn kartaa :-
…mujhe pataa hai aap ne maph kar diya un logo ko..aap ka dil bahot badaa hai ..
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….kyo ho raha hai?….jab budhd pe veshya ka iljam lagaya, kabir ji ke upar kya kya lagaayaa..mohmad saab ke liye kya kya iljam lagaya….mahavir ke liye kya kya iljam lagaaye….jab itane mahaapurusho ke liye kya kya chalaa, bade bade mahatma pe iljaam lage to mere ko kyo chhodenge? mai bhi to bhai hun naa?….:-) kuchh to….”
PRASHN:-
…gurukul mey sade 4 baje se raat ko sade 9 baje tuk chhote bachcho ko bhi uthakar rakha jata hai…proper trainer bhi nahi…
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…..dekho ji ..mai to waha tha nahi…aur agar aisa hota to ye pariwar bolata, ‘ek bachcha mera bhagavan ko prapt ho gaya dusara 2/4 saal ka hoga to mai school mey rakhunga!’……..to is se sidhd ho jata ki, jo bhi badhaa chadhaa ke bola jata hai, us mey koyi tathy nahi….agar tathy dikhata to in se puchho kay ko udhar rakhate?…
…..bachcho ke liye 7 din ki chhutti ghoshit ki gurukul walo ne .. bachche ghar gaye… un ko ghar mey achcha nahi lagaa, wapas aaye..7 din ki chhutti ghoshit ki thi, vo cancle karani padi….bachcho ka hi ghar hai baba!!
..is se kya lagata?…. agar sewa thik nahi hoti, bachcho ka dhyan nahi rakha jata to bhaganaa chahate to ghar to gaye the… to waapas kyo aate?”
PRASHN:-
gurukul ki capacity 75 ki hai lekin 300 bachche rahete hai..
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….ye bilkul kapol kalpit baat hai..capacity jitani hai utane hi bachche hai kisi ko uchhalana hai to kaise bhi uchhal do..narayan narayan….narayan… narayan”
PRASHN :-
….aap ke gururkul mey bachcho ko modern gururkul ki tarah modern tarike se nahi rakha jata..
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….agar modern tarike se nahi rakha jata to wo hi chhindwada ka gurukul aur saraki limadi ka gurukul…ya dusare gurukul pariksha mey first class kaise laate?… 100% result kaise laate?..aur jab ghar se aate tab ki tabiyat aur ab ki tabiyat dekho… modern kya hota hai, modern ke taau ke taau dhang se rakhate hai hum bachcho ko!!
..kya khana …kya naa khanaa…kaise pranayam karana…..kaise dhyan karana..kaise himmat bhar bachche banate hai!!
…wo to koyi aakar dekhe ….
…door se paththar phekanaa aur kichad uchhalana ye kaam aasaan hai..sachchayi ko sachchayi maankar samaaj ko jodanaa ye kathin hai …
aur kathin kaam hum kar rahe aur hum ko badala mil raha hai..bachche chamak rahe hai….”
PRASHN:-
gondwana gantantr parti aap ke khilaf aa gayi…. aarop lagaya ki rani indumati ka hai ..proerty dispute aadi….
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….kisi ko koyi galat phayada uthana hai to alag baat hai..baaki rani indumati mere sampark mey bahot varsho se rahi..un ke trustiyo ne hum ko approch kiya……..kayi varsho tak baatchit chalati rahi ..ab bhi us trust mey un ke aadami hai aur hamhare sewak bhi hai..”
PRASHN:-
abhi koyi case nahi? pote ne daala hai..
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…..kes to koyi bhi daal sakata hai..mujhe pata nahi..un ke trusty the, budhe bujurg the…. rani indumati ke naam se wo trust chal raha hai….
.. hum logo ka to dhanywad karana chahiye samaaj ko aur un logo ko ki humhare lakho lakho rupiye aur lakho lakho sadhak judkar rani indumati ka naam roshan ho rahaa hai !… adiwasi ka uththan ho raha hai !!
…humhara satkar karane ke badale hum par lanchhan lagate , hum par arop thopate to bhi hum kahete ye bhi hum tumhari prasadi le jaa rahe..narayan narayan ..”
PRASHN:-
….to itani achhi shiksha hai to ye hatya usi gurukul ke bachche ne kaise ki?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….ye jo bachcha aaya vo 10 tarikh ko aaya ..aur 29 tarikh ko durghatana ghati to us ko kitane sanskar mile? 19 din hi humhare sanskaro mey aaya tha..sanchalako ne bola ki vo bachcha maans khata, machhi khata.. humhare sanskaro se viparit aacharan hai…. lekin mai kisi ki baat sunkar kisi bachche pe aarop nahi lagaata..samachar ye hai ki humhare sanskaro mey 19 din pahele hi aaya tha….
(sadgurudev hum sabhi sadhako ko …)
- ….aap sab apane apane jagah par rahe
- jap kare ..
- dhyan kare …
- kayi sadhu santo ke hruday vyathit hai ….kayi bade bade sanghatano ke hruday vyathit hai.. kayiyo ke samachar aate kayi apane apane ilaako mey sabha kar rahe…
- mai chahunga ki sulagati huyi aag ko koyi havaa naa de..lekin humhare sadhak sulagati huyi aag ko pani chhitak ke ….dhairy rakhe..
- ..bhagavan ke naam ka jap kare..
- aur bhagavan ko prarthana kare ki humhare bharat ko todanewali shaktiyo ka ku-sankalp shant ho…….
- narayan narayan..narayan narayan..”
PRASHN:-
…..29 ko ashram prashasan allert ho jata to 31 ki ghatana nahi hoti..
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….jis ko karana hota hai andar ghus ke…air line pe jaate sab ki checking hoti… phir bhi plane high jack ho jata…karane wale ki mansha hoti hai to itani security tight mey bhi wo apana kaam kar leta hai….”
PRASHN:-
aap ke purv PA hai najdiki pe aarop lagaya ki tantr mantr karate…
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“…..ye bilkul upjayi huyi baat hai.. vahiyaat baat hai ..raste jaate vyakti ko bolo tera camera mey naam aayega to kuchh bhi bol dega…kisi kaaran se naraj huaa to bhi kuchh bhi bol dena alag baat hai..aur sachchayi bolana to bahaadooro ki baat hai...iljaam lagaana to koyi bhi chhote se chhoti vyakti bhi bade se badi vyakti par bhi lagaa sakate hai… aaj kal to 500 rupiya de do aur affidevite pe sign kar lo..”
PRASHN:-
..bilkul karate hai..lekin log to ye bhi bolate ki bapu ke yaha jane ka rasta hai sadhak banane ka rasta hai, lekin wahaa se baahar aane ka nahi hai…!
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“:-) haa ye to baat sachchi hai..!!!!!!”
Mere yaha aane ka rasta hai ….baahar jaane ka nahi hai!!
PRASHN :-
kya!! ye to dialog film mey hota hai….!!
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….mere yaha ishwar ke raste ek baar aao to phir waha se chitt hatataa nahi hai….sadhak jaha bhi rahega kaam kaaj mey bhi ishwar ki smruti raheti hai..ye aane ka rasta hai….!!
…. phir bhatakane ka rasta nahi…ek baar chakh liya to phir bachche ki itani itani pida sahekar bhi idhar aaye(ramkrushn aur vedant ke parents)… bole gangaa nahi, humhare to charo dhaam yaha hai……
ye aane ka rasta hai….!!
- ….vishwas mey!
- .. shradhda mey!!
- … Ishwar priti mey!!!
- … (ishwariy) shanti mey!!!!
- …ek baar jo is ko chakh leta hai :- paramatm shanti, sachchayi aur sewa ka sadgun to kahe ko jayega vikaro mey?…kahe ko jayega dushtataa mey…?”
PRASHN:-
aap ke karodo sadhak hai ….agar koyi sadhak is MAAMALE mey aata hai to kya aap apane purane bayaan pe kayam rahenge..apane aap ko responsible manenge ?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“haa haa bilkul!!!!!.. ..100% ….nahi 1000% !!!!!mujhe bharosaa hai..vishwaas hai!!!!!”
Prashn :-
itanaa vishwas kyu?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“….humhare yaha hota hi nahi tantrik to vishwas karunga ki a-vishwas karunga?
…ab aap ko koyi kahe ki aap manushy nahi..aap singh wale prani ho to aap ka vishwas hoga manushyataa par ki nahi?:-)
”
PRASHN KARTA:-
mujhe dekhana padega ki mujhe sing ugate hai kya?
PARAM PUJYA BAPUJI :-
“nahi dekhoge aap…aap dekhate hai to aap bhramit ho rahe…aap ko koyi kahe de ki aap sing-wale prani hai to aap daave se kahete ki sing wala prani nahi hun… to aise mere ashramwasi ko yaa mere ko koyi ‘tantrik tantrik’ kahetaa hai to mai bhi daawe se kaheta hun ki ye paida ki huyi aphavaa hai….
om namo bhagavate vasudevay….priti devay…madhury devay…aatm-vishranti devaay….om namo bhagavate vasudevay….
mere sadhako pe mujhe naaj hai ….
mere sadhako pe mujhe naaj hai …..kitana kitana kuprachar , suniyojit shadyantr, gapshup aur kitane kitane logo ke kalpanik bayaan lekar samaaj ko aur sadhako ko gumraah kiya gaya….
mujhe mere gujrath-vaasiyo par bhi bharosa hai… aur ahmedabad walo ko to mai achhi tarah jaanata hun …..gali gali ke log mujhe jaanate aur mai un ko jaanata hun….mere prati kisi ka rosh nahi hai ….aur
mere sadhak itana ku-prachaar hone ke baad sankhya ghatani chahiye ….aadami naraaj hokar chale jaane chahiye…us ki jagah aur sankhya badhi hai….ye ek baar nahi huaa.. aisa to kayi baar huaa hai( aphavaaye khub chali)… lekin dekha to badhotari huyi ..mai to aur bhi sanskruti ki sewa mey saphal ho rahaa hun….
aur saphalataa viphal-taa mere najar mey sapana hai
aur sab ke hruday mey rahetaa vo paramatma apanaa hai..
kisi jati kaa, kisi majhab kaa, kisi desh ka bhale hi dikhe lekin meri hruday se sab apane hai..
narayan narayan narayan narayan…..
Hari Om!Sadgurudev Bhagavan ki jay ho!!!!!
Galatiyo ke liye prabhuji kshamaa kare….
August 7, 2008 at 2:56 pm
Hari Om,
Narayan Narayan Narayan Narayan…
Param Pujya Sant Shri Asaram Bapu, hamare pyaare SadGurudev ka yeh interview blog mein dene ke liye aapko anant anant sadhuvaad aevam dhanyavaad…
Hari Om,
Narayan Narayan Narayan Narayan…
August 7, 2008 at 4:40 pm
Hariom
Indeed a great sevaa ! Thanks a lot for providing these details…
Sadguru Dev ki Jai..
Hariom
August 8, 2008 at 9:09 am
Hari Om
Yeh Sewa bahot bahot achi hai.
hriday se dhanyawad aur parampita bapuji ko koto koti pranam