Ram Navami Satsang
13th April 2008, Sunday ; IST :5.20 pm
satsang live from Saagar
*************************************************************************
Sadgurudev SantShiromani ParamPujya ShriAsaramBapuji ki Amrutwani
*************************************************************************
hari om hari om hari om hari om hari om hari om hari om
dusaro ko langh kar aage aate paap lagata hai..
jaha baithe hai waha hi baithe…aage nahi ghuse..paap lagata hai…
shlok : om… sarvo bhadrani pashatu.. sarv sadbudhdi vapnetu ..
hari om
hari om
hari om
ram navami ke is pavan parv par bhagvaan ka mantr suna…. sab apane apane manyatao se , ahankar se vikaro ke khayi se paar ho jaye sab ko sadbudhdi mile ….sadbudhdi nich karmo se bahcati hai ..bhagvan mey pratishtit karati hai.. sab ko aisi sadbudhdi mile …. sadbudhdi milane mey bhagavan sahaayata kare…. madad kare…
jo dusare ki ninda kar ke, dusare ko dhokha kar ke badaa banana chahte ,wo bahot nuksaan mey rahete..sab apane ahankar durgun se pare ho…sab ka mangal chahe , sab ka mangal kare.. “sarv bhadrani pashyantu” .. sab ko sadbudhdi mile ….
sadbudhdi kaise milati hai?
sat-swarup paramatma ka chintan karane se, paramatma mey gota marane se sadbudhdi badhati hai…. asat ke sang mey asat-budhdi badhati hai…. nich yoniyo ki , nich dukho ki prapti asat buddhi se hoti hai…sadbudhdi vo hoti hai , jis se satsang milata hai, sat-swarup ka gyan milata to ant mey ishwar mey aaram paakar ishwar ke amrut putr hote ..ram navami ka ye mahaparv hai..Ram ji sat ka darshan karate the….
aapat-kal mey, dukh mey , a-dharm mey ghire huye jivo ko asat-budhdi se sat-sang ke gyan ko ahankar mey ulata mankar pareshan hote hai …
sat ka darshan ram ji kaise karate the?
sat-swabhav mey , chetan swabhav mey , aanand swabhav mey ram ji darshan karate …nind mey se uthate hi satchidanand swabhav mey shanti paate…ramchandr bhi gurukul mey rahete to guru ke hruday mey jagah banate…apane sathiyo se sneh karate..ram ji ye jaanate ki samane wale paksh ki haar huyi to bachche mayus ho jate hai..isliye ram ji janbujh kar haar jate….dusare ko prasannata dete…dusare ko yash dete… janate the ki samane wale ko nicha dikhakar swayam ka yash dekhana asat budhdi hai… samane wale ki unnati mey hi apani unnati hai ye ram ji janate the ..dhokhadhadi se aage badhana ye asat budhdi hai.. baudhdik vikas se antaratma ki santushti ye satbudhdi hai…
19 saal ke umar mey kayi million dollar kamaye the maxmuller ne ….standard voccum company ka mailk ban gaya..money money money karata …money ki bhuk aisi lagi ki paisa paisa dher laga diya… 60 desho mey audyogik samrajya tha ..nabbe hajar log us ke paas kaam karate ..abhi bhi aasakti kam nahi huyi…53 saal ki umar mey shwas ladkhada gaye… pachan tantr kam nahi karata, anidra ka rogi ho gaya..doctoro ne kaha ki 6 mahine ke andar tum maroge.. tab dekha ki itana bada samrajya hai , ye kya hua….goliya khakar bhi nind nahi aaye…dhan to manushya kama sakata hai lekin nind sat-swarup ishwar ki den hai..paisa dekar nokar nokarani laa sakate hai , lekin shadi vivah se jo pariwarik sukh milata wo sukh to ishwar ki krupa se milega..doctor ne kaha 6 mahine ke andar marega…us ka saubhagy hua ki bharat ka sant vivekanand ka pravachan mila..sant ke charano mey aaya….
sant to sant hai..sant ne kaha ki , asat ahankar ko vastu ikkaththe kar ke bada hun , is ahankar ko chhodo…. ahankar se aadami bada nahi banata…paramata mey dubane se aadami bada hota hai…. samrajya bada ho to chinta tanav hoga , ye mera hai ….ye sab ahankar ko bhgavan ko arpan karo.. jo bhi hai vo humhara nahi, ishwar ka diya hai… karm karane mey dusaro ka shoshan kar ke bade nahi bano…dusaro ka poshan kar ke ishwar mey vishranti paao..asali bada to aatma paramatama hai , usi mey shanti payenge to hi shanti milegi… kursi meri mai bada ye ahankar hai.. nakali chij hai….us ke sath dukh , chinta , tanav tention aayenge..mira , buddh , lilashah bapu ne sabhi mahapurusho ne ahankar se bada banane ki galati nahi ki…. prem ras se vastavik mey bade ho gaye…. ye badppan asali hai… jo jivatma ko paramatama se mila de..ye mere dhan daulat hai, ye mere certificate hai , ye mere karkhane hai, ye mere kamare hai , ye mere gahane hai… ye sab a-sat budhdi hai ….sab bhagvan ka tha , hai aur rahega…jo bhi dhan kamaya ,ye dhan-daulat chij vastu tere sath chalegi nahi bete ….
pada rahega maal khajana chhod triya sut jaana hai
kar satsang abhi se pyare nahi to phir pachhatana hai
khila pila ke deh badhayi wo bhi jamin mey gadenge… aise deh ko mahatv dekar chetan aanand swarup ishwar se vimukh hone ka paap kyo karana ?
…maxmuller ko gyan ho gaya… us ne soch liya ki ego ko nahi posenge… sampatti ko parhit mey laga di..santosh milane laga… dhire dhire bimari thik hone lagi…. satswarup ishwar ki priti nimitt satkarm mey lag gaya ….93 varsh ke umar mey bhashan mey bola ki satsang se dhang mil gaya jeevan jine ka..
aap apane sat ko mahatv de …sharir mithya hai aatma sat hai…
- mithya us ko bolate jo pahele nahi hota , baad mey nahi rahega ..bich mey kewal dikhata us ko bolate mithya….jo sharir hai….
- sat us ko bolate jo pahele tha, ab hai aur baad mey bhi rahega…wo tumhara aatma hai…
bachapan mey chij vastu milati to khush hote aur nahi milati to rote the ..ye bachapan ki budhdi badal gayi ,lekin us ko janane wala nahi badala… wo hi sat hai..wo hi chetan hai.. mera piya hai ..mera pyara hai ….
- usako jaan loge to a-sat se bach jaaoge ..paapo se bach jaaoge…shoko se bach jaoge….
hum hath jodkar tum sabhi ko prarthana karate ki usako jaan lo….
aaj shri ram ka avataran diwas hai to ye pakka kar lo ki :- ek hai mithya aur ek hai sat ..
dukh sukh badalata sat-swarup aatma nahi badalata
dukh sukh aakar badal gaye us ko janane wala nahi gaya , wohi mera sat-swarup hai..rom rom mey rum raha hai..wo mera ram-swarup hai….usi ko jaan lo…
es sharir mey kya rakha hai?…polam pol dikhata hai…. maas aur haddiya ….ye to bhagvan ki daya hai ki chamade ka cover hai…. kalpana karo ki kaisa dikhe…. parivartan ho raha hai wo mithya sharir hai…jo us ko janata hai wo mera sat swarup aatma hai…wo hi chetan swarup , gyan swarup hai.. nitya hai..
ye sharir , dukh , sukh anitya hai ..
itana pakka kar lo..ratana nahi hai….samjhana hai..mai phalane ka beta hun aisa ratana padata hai kya? samajh liya ..pakka ho gaya….aise hi “mai sat swarup bhagavan ka hun” itana samajh lo…. sharir mey dukh aata hai , sharir anitya hai ..dukh aayega tab itana yaad rahega to dukh tum ko dabaayega nahi…. sat ka prakash chhayega …..
sukh mey namrata rakho.. sukh ko bahujan hitaay baanto ….
dukh ko bhogkar kamjor ho jate aur sukh ko bhogakar vikari ho jate ….dono taraf se ghata hai..
narayan ka aashray lo ….satswarup ka aashray lo….subah nind se jago to thodi der baith jaye ..apane sat swarup ka dhyan karo ….paramatma sat-swarup hai…us ka dhyan karoge to asat se , kalpanao se door rahoge…
bhagavan ki baat nahi manate to lakh upay kar ke bhi nirdukh nahi ho sakata…. agar ye baat nahi mani sukh tikega nahi aur dukh mitega nahi….aur bhagavan ki baat maan li to dukh tik nahi sakata….
sone ki lanka wala ravan ban jaye ya mantri ban jayega to bhi dukho ka ant nahi hoga… sukh tikega nahi….aur ye baat sweekar kar lo to sukh mitega nahi….bilkul pakki baat hai…. humhari tumhari kasam le lo…
baki kitane bhi upaay kar lo, lekin is upay ko chhodkar dusare upay se dukh door nahi hoga …kyo ki aatma hi kewal sukhrup hai , shashwat hai, sat hai… us ko nahi maanate , nahi sambhalate to bhi wo chhutata nahi kyo ki wo achyut hai ….ye sharir ko kitana khilaya ,phir bhi ye chhutega….. aatma ko kya khilaya?phir wo marane ke baad bhi sath nahi chhodega…
sharir ko sambhal ke thak jate phir bhi ye sharir sath nahi nibhata hai… us paramatma ko sambhalate nahi phir bhi wo tumhara sath nahi chhodata, marane ke baad bhi humhara sath nahi chhodata….
manushya sharir ko kitana sambhalata hai..aankho ko picture dikhao , jibh ko chatorepan do , naak ko perfume do , kaan kitana sunao , niche ki indriyo ko patipatni ka sex karo ..kitana bhi sukh bhogaya hai ..phir bhi ek jhatake mey kuchal ke mar jate…jaise khet khali ke kide gadi ke light dekhate to maja lene aate aur takarakar saja ho jati aise hi asat chijo mey jo maja lete to bimari pakdegi..khane ki manaa nahi hai, lekin jibh ke chatorepan ke liye khayenge to paachan tantr bighadega…santan prapti ke liye mana nahi hai lekin patipatni ka vyavahar maja lene ke liye karate to kamartod karykram budhda banaa dega…. bin jaruri khao mat..jaruri hai wo karoge to satswarup ka aanand paa loge…us parameshwar ka samarthya paa loge..
sarve bhadrani pashyantu….sab ka mangal hoga….. sadbudhdi maapnuyaat…. sadbdudhi mil jaye… ek dusare ke poshak ho jaye… satsangi ke sahayak ho jaye… ishwar ke raste ek dusare ko samarpit kare…
ye bharam ho gaya hai ki sansar ka kaam karane se hi kuchh milata hai…. kuchh karenge to bhagavan milega, ye bharam hai…… kuchh karane se a-sat milata hai… us ka hokar swayam ko arpit karo to wo mila milaya hai..
a-sat ko kitana bhi sambhalo , a-sat ka kitana bhi arjan karo aur ant mey chhodokar maro….
lekin sat ko arjan bhi nahi karana hai, sambhalana bhi nahi hai aur chhdoakar marana bhi nahi hai ..
aatma ko sambhalana nahi padata…marne ke bad bhi rahene wale hai asat me aaasakti karenge narako me jayenge sat swarup ishwar ko paane wale mahapurusho ke satsang karoge, bhagavan ke gyan mey gota marenge to jite jee hi mukt ho jayenge…. aisa humhara manushya jeevan hai…
chhatrapati shivaji samarth ramdas ke satsang mey jate.. parmatma ka sakshatkar kar liya.. parikshit ne 7din mey paa liya..7 din mey to koyi ek class bhi paas nahi hota…
samarth guru aur tatpar shishy hota to kaam kathin nahi hai..
40 saal mey bhi satswaup ishwar ka anubhav ho jaye to sauda sasta hai..
..kaun se dev ki satta se aankh dekhati , man sochata hai , budhdi nirnay karati hai…usake pichhe kaun hai? aankho se dekhe huye drushya badal jate, mann badal jata, budhdi ke nirnay badal jate… sharir mar jata hai..lekin aisi kaun si chij hai jo nahi badalati us ko jano to manushy kya se kya ho jata hai….
bhagavan ramchandra ke gururdev vashishtha ke prashn uttar “yog-vashishth” vastav mey pujane yogy hai… diksha kya hai …guru tatv kya hai …shashwat tatv kya hai… aise prashn shri ram ji ne puchhe hai aur guru vashishth ji uttar diye hai.. pure samaj ko sarvopari gyan diya hai ….satswarup ka updesh diya hai…… jin mahapurusho ne ishwar ko paa liya unho ne bhagavan ki jo stuti ki hai wo bhaagvaat mey, shastro mey , purano mey hai ….unka sankalan kar ke “narayan stuti” naam ka chhotasa pustak banaya hai…ye chhotisi pustika roj padho to 7 din ke andar hi madhurya shuru ho jana chahiye aisi pustika hai…aashram se jo bhi pustak hai sewa ke bhav se chhapata hai, isliye kimat bhi bahot kum hai…es pustika ko padho aur usi mey lago…shwas andar jaye to om bahar aaye to ginati shwas jaye to ram , baahar aaye to ginati…aise lage raho..
mala shwasoshwas ki jagat bhagat ke bich
jo phere wo gurumukhi naa phere wo nich
aap log himmat kar ke karoge to bhagvaan jarur madad karate… asat ke aakarshan ko chhodo to bhagavan madad karate..
hum ne bhagavan ke satswabhav mey apne “mai” ko dubaya to humara kya ghata hua?…aap ki mithi najar pade to logo ke paap taap door ho jate ….aap ki wani satsang ban jati… satswarup mey gota markar bolate wo satsang ho jata hai…
ek ghadi aadhi ghadi , aadhi mey punh aadh l
tulasi sangat sadh ki hare koti aparahd ll
sukh deve dukh ko hare , kare paap ka ant l
kahe kabir ve kab mile , param sanehi sant ll
apane ko paramatama ka maanate , sukh dukh ko sapana aur prabhu ko apana maanate aur usi mey gota marate to aise param sanehi sant milate… punya hruday mey pragat hota hai… paap-taap nash hote hai ..
(param pujya sadgurudev ji ne satsang ke purnahuti bela mey raja ajj ki kahani sunayi…)
achhe karm sukh denge bure karam dukh denge lekin karam honge to bandh ke to rakhenge… satsang ke bina jivatma ki mukti ka koyi upay tha nahi , hai nahi aur hoga nahi..
shastra kahete hai ki karod kam chhodkar hari ka gyan apane andar bhar lo.. bhagavan ki priti tum kar sakate ho… sundar tarika hai ki bhagavan ko apana maano….gahene ganthe apane manate to un ko to pata nahi ki apana hai.. jute ko apana manate to apana ho jata hai , sachmuch mey juta tumhara tha nahi, rahega nahi …lekin paramatma sachmuch mey tumhare the , hai aur rahenge …dusara aap ka kuchh bhi nahi hai…
makan kahene bhar ko tumhara hai, us makan ko pata hi nahi..lala tera sharir bhi nahi tera ….tera hota to tere kahene mey chalata..tu nahi chahega to bhi ye sharir mar jayega …koyi kitana kahe ki patni meri, beta mera to upar upar se man le, lekin ye pakka samajh le ki kewal bhagavan hi mere the, bhagavan hi mere hai…aur bhagavan hi mere rahenge…. baki sab dhokha hai ….maaya-jal hai… bhagavan ke sivay kahi bhi mann lagaya to ant mey rona hi padega..
kitane sikandar aakar chale gaye to tumhara kya rahe jayega bete ? ye sansar mey sharir ka upyog kaise karoge jaise jahaj mey gadi mey baithate to upyog kar ke chhodate aise ye sharir ko le nahi ja sakate ..isaka upyog kar ke yaha hi chhodkar jana hai….
bure karm karate to narko mey jaate, achhe karm karate to swarg mey jaate , lekin dusare janmo mey kyo jaye?.. nich yoni mey kyo jaye?… hum to unche se unche prabhu ke hai..usi mey vishranti payenge….
kisi ka bura na mane , kisi ka bura naa soche..to ghar swarg ho jayega meri bitiya laliya..
satswarup ka gyan pana hai , priti pani hai aisa irada kar lo..bachcha maa ko kaheta ki maa mai tera hun to itana kahene se maa sari galatiya badamashiya bhul jaati hai aise hi bhagavan se kahe do ki hey daata hum tere hai…ye mithya sharir sachcha lag raha hai , sachha paramatm dev ko bhulate hai …marane wala sharir mai maan raha hun ishwar tere liye priti nahi hoti ….roj tumhari god mey sota hun ,thakan mitaata hun phir bhi bhul jata hun..teri priti de do prabhu…
govind bolo hari gopal bolo..radha raman hari gopal bolo..
aanv nahi aadar nahi nahi nayanan mey neh
tulasi waa ghar naa jayiyo chahe kanchan barase geh
aap ke ghar mey koyi aaye to us ko aadar dijiye aap ke ghar ki shobha badhegi..
sat ko priti kar ke satsawarup ishwar ko apana mano , sharir marne ke baad jo raheta wo mera apana hai aisi prathana karo…
nind mey se uthkar aisa karo…din mey bhi kam karate to bich mey kaho , “hey nath hey narayan”…. narayan stuti padhate padhate dhyan magn ho jao ….ram navami ke pawan parv par ye pakka kar lo…
bhagvan bholenath kahete hai ki ,
dhanyo mata pita dhanyo gotram dhanyam kulodbhav
dhanyacha vasudha devi yatr syat gurubhaktita..
hey parvati usaki maata dhanya..usake maane aap ke mata pita ko shiv ji dhanywad dete hai… satsang sunanewale ke ghar mey jo utpann honge unko bhi shiv ji dhanywad dete hai..pranayam ki vidhi batayi us ka upyog karana… 1 min andar roka aur 40second baahar roka…3 baar karanese bahot labh hoga…bahe se liya(left nostril) roka (aur om shanti 5 baar japa)aur dahe se chhoda(right nostril) to garami jayegi ..
bolate jao..om om om om om…. hotho mey bolo, kanth mey bolo, hruday mey bolo..pani mey dekhate jao aur wo pani pio..to bigadi anek janam ki sudhare ab aur aaju..
(tali bajate huye) hari om hari om hari om ..aap ki rag rag pavan hogi…hari om hari om hari om ram ram ram ram hari om hari om pyare ji om om om ha ha ha ha
..din mey 1/2 baar hasy prayog kare….
yuwadhan pustak padhenge to akal mrutu tal jayegi…. yuwadhan pustak aaj 5rupiye mey milegi aaj ke din bapuji ki taraf se…
aarati ho rahi hai..Om jay jagdish hare..
“hey prabhu aanand daata” ye prarthana roj ghar mey sab milkar gaao to ghar swarg ho jaye..
kanthasth karo….ghar ke jhagade door honge….ramsukh ji maharaj bolate ki mai khane ki chhutti kar sakata hun lekin prarthana ki chhutti nahi kar sakata…
hey prabhu aanand daata gyan hum ko dijiye
shighra saare durguno ko door hum se kijiye
lijiye hum ko sharan mey hum sadachari bane
bramhchari dharmrakshak vir vratdhari bane
hey prabhu aanand data gyan hum ko dijiye
shighra sare durguno ko dur hum se kijiye
nidna kisi ki hum kisi se bhulkar bhi naa kare
irshya kabhi bhi hum kisi se bhulakar bhi naa kare
satya bole jhuth tyage mel aapas mey kare
divya jeevan ho humara yash tera gaya kare
hey prabhu aanand data gyan hum ko dijiye
shighra sare durguno se door hum ko kijiye
jaye humhari aayu hey prabhu logo ke upkar mey
hath daale hum kabhi na bhulkar apkar mey
kijiye hum par krupa ab aisi hey paramtama
moh mad matsar rahit hove humari aatma
prem se hum gurujano ki nitya hi sewa kare
yog vidya bramh vidya ho adhik pyari humhe
bramhvidya prapt kar ke sarva hikari bane
hey prabhu aanand data gyan hum ko dijiye
ninda hum kabhi bhi hum kisi se bhulkar bhi naa kare
saty bole jhuth tyage mel aapas mey kare
bhagvan hi prapt hote dusara kuchh hota hi nahi..
malyarpan ho raha hai…..
om namo bhagavate vasudevay …prabhu devay… priti devay …
ram navami ke pawan parv ki sab ko badhayi …ram ram ram ram .. jay shriram !!!!!
Om Shanti.
Hari Om!Sadgurudev ki jay ho!!!!!
(galatiyo ke liye Prabhuji kshama kare…..)
April 14, 2008 at 5:12 am
hari om …………. jai sadguru dev ki jay jai shriram………… parampujaya shri gurudev ki jo ramnavmi ka satsang diya use hindi /marathi main diya to bahut aasan ho jayega hari om hari om hari om……………….
April 14, 2008 at 1:50 pm
Hari Om,
Narayan Narayan, Narayan Narayan…
Shri Ramnavami ke paavan parv par Param Pujya SadGurudev ki AmritVaani hum sabhi tak pahunchanne ke liye aapko baar baar bahut sadhuvaad aevam dhanyavaad…
Hari Om,
Narayan Narayan, Narayan Narayan…
April 26, 2008 at 8:21 pm
Bahut-2 Dhanyabad
March 16, 2010 at 12:00 pm
he prabhu,
ab kripa karo ihi bhati sab taju bhajan karu din rati