gyan ke pankh….Pratipada satsang_live

Saturday, November 10, 2007 ; IST: 6pm

Ahmedabad satsang_live

****************** 

Sadgurudev Santshiromani  Pujyashri Asarambapuji  ki Amrutwani :- 

*******************  

In Hinglish(Hindi written in English) 

(For Hindi please scroll down)

Hari : OOOOOMMMMMMMmmmmmmmmm

हरि:  ओऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽम्ममममम्म्म्म

(plut uchcharan 5 times..)

 Hari Om…..Omkar mantr mey aayu aarogya ko pusht karane ki shakti hai, bade bade vighn badha rokane ka samrthya hai….-Tum jo chahate wo hota nahi,-jo hota hai wo tumako bhata nahi…-aur jo bhata hai wo hota nahi..ye prakruti ka akaty niyam hai..!aap prakruti se sukh prapt karane ka prayatn karate to kuchh na kuchh rok lagata hai…manushy apani yogyata ko swa-kendrit rakhega to simit dayare mey rahega..apani yogyata dusare ke liye upyog karega to us virat ke sath ekakar ho jayega…is niyam ke virodh mey aap jate to rok lagati hai aur is niyam ke anusar chalate to ishwar ka sahayog milata hai..teacher ki yogyata vidyarthi ka gyan badhane ke liye hoti hai..doctor ki yogyata marijo ko thik karane ke liye hoti hai..santo ki yogyata samaj mey khushhaali aur aanand ka watavaran karane ke liye hoti hai…aise tumhare mey jo bhi yogyata ho , apani yogyata auro ke liye upyog karo.. bahujan hitaay , bahujan sukhaay…

 ..Ram aur Krushn bhagavan se pahale bhi ved bhagavan the..Ved Bhagavan  kahate hai… 

“hey Manushy tujhe unchi udaan bharane ke liye gyan ke pankh diye hai….is gyan se prakruti ka sukh lega to tuze santosh nahi hoga..!aur aur aur ki pyas badhati jayegi….nashwar se priti nahi….aur aur ka prakruti ka sukh tujhe santosh nahi de sakata….tu ishwar se priti kar..hey manushya tu itana unnat ho sakata hai ki pragat bhaye gopala…!!”

Manushy mey ishwar ne itani yogyataye di hai..pashu pakshiyo mey ya chorasi lakh mey se aur kisi yoni mey aisi yogyata nahi hai…- manushy jeevan mey hi chinta hoti hai, pashuo ko chinta nahi hoti..

- manushya ke upar hi jimmedariya hai, pashuo ke upar jimmedariya nahi hoti..

- manushy ko ekadashi ke din chawal khane se paap lagta hai..manushya ka swasthy bigadata .., pashu ko nahi lagata…

- manushy ko hi amavasya – poonam ko sex karane se paap lagata..vikalang santan paida hoti..garbhadan nahi bhi hua to bimari aur kamjori aati hai..lekin pashuo ko koyi paap nahi lagata…

Kyo?

….Kyo Ki sirf manushy mey hi unnati ke liye yogyata bhi mili hai..jo pashu, pakshi , kide makodo ko nahi hai..esliye gyan ke pankho se udaan bharo unnat ho jao..apana laksh uncha rakho aur use paane mey lag jao..bolo sabhi… 

Laksh na ojhal hone paye kadam milakar chal…l

Saphalata tere charan chumegi aaj nahi to kal…ll

..Lamba shwas lo….

Hari om..Hari Om.. 

Hari hari hari hari om om om om om om om shakti….

om om om om om om bhakti…

om om om om om mukti…

om om om om om Ram Ram mere Ram Ram Ram Ram…Shiv Shiv Shiv mere Shiv Shiv Shiv Shiv..

Shakti..Bhakti Aur Mukti…

Hari Om Om Om Om Om aanand

Hari Om Omm Om Om Om aarogya

Hari Om Om Om Om OmmMadhury

Hari Om Om Om Om Om Om Ha HA HA Ha HA…(Bapuji Hasy karavaye..  J  ) 

Aise “Hasy” se adhi bhautik aur adhi daivik labh hote hai…aadhi bhautik ye ki tumhare 72000 nas naadiyo mey shudhd rakt ka pravah bahene lagata hai..mane bhautik phayada aur adhi daivik mane tumhare vruttiyo mey jo vikalp hote wo shant hote hai..sanshay ,tanav tention kum hote hai…aur badhiya swasthy suman khilane lag jata hai…

Narayn narayan narayan narayan narayan..

Hari Om..

हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म  (hari Om ka dirgh uchcharan 7 times..)

(Aarati ho rahi hai…OM JAY JAGDISH HARE..Prarthana ho rahi hai…karpur gauram..Bapuji aur sabhi bhakt gan ‘mhari nawadi dariya  maa dole guruji’… ye pyara sa bhajan gaa rahe hai..)

 …viphalata aati to unnat karane ke liye ….saphalata aati to apani yogyata auro ke liye upyog mey laaye..sukh mey baho nahi dukh mey vilap karo nahi… 

Sukh swapna dukh bulbula , dono hai mehman

Dono hi tyaj dijiye , aatma ko pahechan..! 

…apana laksh uncha rakho…ved bhagavan kahata hai ki , “hey manav..!.. tujhe gyan ke pankh diye hai ..unchi udaan bharane ke liye..!” ..ye gyan kaha se milega?….satsang se.. !..Bhagavan Shankar parvati ko agasty rushi ke ashram le jaate ….bhagavan Ramji sita ji  ko  aur lakshman ko Bhardwaj rushi ke ashram mey le jaate……bhagavan krushn to sakshat satsang the..arjun ko yudhd ke maidan mey geet sunaya to ‘bhagavat gita’ ban gaya aur wo satsang sunane se hi arjun ke dukh mite..satsang se hi kewal unnat jeevan ka gyan milega…kisi dhan se, kursi ke dwara ya  satta se manushy itana unnat nahi ho sakata…dukh , tanav tention bana rahega…satsang ke karib jate to shashwat shanti, shashwat gyan paate hai aur sab ko satta dene wale ke sath jivatma ka tadatmy hota hai… 

***** Yogyatao ko  jakadane wale pash 

Manushy mey yogyata hai..lekin yogyata ke sath use bandhane wale pash bhi aate hai…ye pash kewal satsang se hi katate hai…

-        Ek pash hota hai tamasi pash…khao , piyo mauj karo..ye tamasi pash hai…thodi bahot yogyata badhati to rajasi pash aata….

-        rajashi pash mey bandhe khapate rahate aur aur ke pichhe…mare ja rahe… 

Pada rahega maal khajana chhod striya sut jana hai..

Kar satsang abhi se pyar nahi phir pachhatana hai.. 

Sree , putr , maal -khajana sab yaha hi pada rahega…satsang ka ..  ‘sat’ ka sang karata to dhan, maja aur khappe wala rajasi pash katega to satvik pash aa jata hai…

-        Satvik pash mey  “mai itana bhajan karata mai itana niyam karata hun”..ye pash bandh leta..itana niyam karata to niyam ka phal hua…aur niyam ka phal niyam pe chalana hi hai to ant kya?..poojari pooja karata hai..namajhi masjid mey namaj padhata hai..bandagi wale bandagi karate rahate ..lekin in sab ka ant kya?..ye gyan satsang se hi milata hai…niyam pe chalate rahana, bhajan jap karate rahana ye satvik pash hai…satsang se hi ye pash katata hai..gyan prakashit hota hai… 

Hey manushy tujhe Ishwar ke gyan mayi pankh diye hai ..!

..tu vighn badha ko kaatnewala ban…!

..tu Paristhitiya sada ek jaisi nahi rahengi..paristhitiyo  ko katane wala ban..!

..tera Swasthy sada nahi rahega..tu bimari se ladane wala ban..!! 

..samasya, paristhiti , aswasthy aaye to isame rone ki , darane ki kya baat hai…ye to aanejane wala hai…aisi samajh satsang se hi vikasit hogi…bhagavan mey, ishwar mey  , guru mey shradhda hona ye saubhagy ki baat hai..guru ki baato ko laukik manega to ashanti hogi… 

Guru ko mane manavi , dekhe deh vyavahaar  l

Kahe pritam sanshay nahi pade narak ki jhaar  ll 

..Satvik pash mey satsang ke bina shradhda kum hoti  , ya toot jati hai….pralhad ke liye  pratyaksh bhagavan ne avatar liya ..phir bhi satvik pash mey bandhane se satsang ke bina shradhda toot gayi…. “tere baap ko marane wale ki pooja karata hai…are kya bhagavan, bhagavan….”  Kisi  ne kahe diya to pralhad ko aisa tir laga ki bhagavan vishnu ke sath yudhd karane ki taiyyari kar lee…Ishwar mey shradhda thi lekin pita ko maranewale ke roop mey bhagavan ko dekha to shradhda toot gayi….bhakti chhodkar nindako ka shikar ho gaya….sant kabir kahate ki lakh  papiyo se bada paapi ek nindak hota hai…Bhagavan vishnu swayam sadhu ka roop lekar pralhad ko mile ..( aur pralhad ko ashradhda se bachaya…ye kahani sadgurudev ne batayi…) aise satvik  pash katane ke liye prarthana kare ki… 

“hey parameshwar! ..jo pitru aur devata ko bhi prapy nahi aisi aardhana , upasana hum karate hai..isaka phal  yahi dena prabhu ki tum tuk pahunchu…..!”  

..to bhagvan tamasi, rajasi, satvik pash se mukt kar denge…Bhagavan to karm data hai..karm ke niyamak hai aur karm ke phaldata bhi hai….Jinako shradhda nahi, guru nahi satsang nahi..unaki durdasha hoti hai…patan ke raste jaate….tuchh karm ka phal bhogate…nich yoniyo mey jaate….

Narayan Hari Narayan Hari.. 

-          in dino mey til ke tel(oil) se ya sarso ke tel se malish karana heetkari hota hai…

-          diwali ke liye jo ubtan bataya usase in dino snan kar sakate hai..paapnashini ubtan hai..(genhu, chawal, mung, chana, udad, jav aur til ye 7 chije 10-10 gram lekar-sam bhag- pis ke powder bana le aur pahale sir-lalat-kanth-hruday-bhuja aur nabhi is kram se lagaakar nahaye to paap nash hote aur swasthy bhi achha raheta hai..)

-          aaj pratipada ke din gaay ke ghee ka , mahapurusho ka darshan karana chahiye..

-          saubhagya suthee paak khana chahiye…february tak kha sakate hai baad mey garam padega… 

 …maine to saubhagy suthee paak khana chalu kar diya hai..dekho kaise jawan lagata hun…lekin ye to sab sharir ke liye hai..sharir to maranewala hai…hum to baad mey bhi rahenge..ye sharir mai nahi hun..ye dadhi mai nahi hun..ye budhdi mai nahi hun..ye hath mai nahi hun…mai to aatma hun…budhdi ,sir , pet , hath kaam karata – nahi karata isako bhi mai janata hun..aisa mai aatma hun ..prabhu ka pyara hun…J …Mai sundar ho gaya…to arre sundar to chamada ho gaya…mai to usako jananewala hun…

Hari Hari om

Madhur madhur naam Hari Hari Om..(vandaniya Narayan Sai madhur bhajan gaa rahe hai…)

….bhagavan ne arjun ko dhananjay kaha…dhan ka swami..vastuo ka swami..vastav mey aap swami hi ho…lekin heen swabhav ke karan ‘daas’ ban gaye…..!!heen soch ke karan paristhitiya , sukh ,dukh viphalata ke ‘daas’ ban gaye ho…..

Deepawali ka itana sandesh le jaye ki apana laksh uncha rakhe…

Hari Om Hari Om.. 

Om Shanti..

Hari Om!Sadgurudev Ki Jay Ho!!!!!

(galatiyo ke liye prabhuji kshama kare….)

*******************

हिन्दी में

ज्ञान के पंख….प्रतिपदा सत्संग_लाइव
शनिवार ,  नवम्बर १०, २००७ ; भारतीय समय शाम के ६ बजे
अहमदाबाद सत्संग_लाइव


******************
सदगुरूदेव संतशिरोमणि  पुज्यश्री आसारामबापुजी  की अम्रृतवाणी :-
*******************
 हरि ॐ…..
हरि:  ओऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽम्ममममम्म्म्म
हरि:  ओऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽम्ममममम्म्म्म
हरि:  ओऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽम्ममममम्म्म्म
हरि:  ओऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽम्ममममम्म्म्म
हरि:  ओऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽऽम्ममममम्म्म्म
….ओमकार मंत्र मे आयु आरोग्य को पुष्ट करने की शक्ति है, बडे बडे विघ्न बाधा रोकने का सामर्थ्य है….
-तुम जो चाहते वो होता नही,
-जो होता है , वो तुमको भाता नही…
-और जो भाता है , वो होता नही..
…ये प्रकृति का अकाट्य नियम है..!
आप प्रकृति से सुख प्राप्त करने का प्रयत्न करते तो कुछ न कुछ रोक लगता है… “मनुष्य अपनी योग्यता को स्व-केन्द्रित रखेगा तो सीमित दायरे मे रहेगा..अपनी योग्यता दूसरे के लिए उपयोग करेगा तो उस विराट के साथ एकाकार हो जाएगा”  …इस नियम के विरोध मे आप जाते तो रोक लगती है और इस नियम के अनुसार चलते तो ईश्वर का सहयोग मिलता है..टीचर  की योग्यता विद्यार्थी का ज्ञान बढ़ाने के लिए होती है..डाक्टर की योग्यता मरीजो को ठीक करने के लिए होती है..संतो की योग्यता समाज मे खुशहाली और आनंद का वातावरण करने के लिए होती है…ऐसे तुम्हारे मे जो भी योग्यता हो , अपनी योग्यता औरो के लिए उपयोग करो.. बहुजन हिताय , बहुजन सुखाय…
 ..राम और कृष्ण भगवान से पहले भी वेद भगवान थे..वेद भगवान  कहते है… 
“हे मनुष्य तुझे ऊँची उडान भरने के लिए ज्ञान के पंख दिए है….इस ज्ञान से प्रकृति का सुख लेगा तो तुझे  संतोष नही होगा..! ‘और -और- और’ की प्यास बढती जायेगी….नश्वर से प्रीति नही…. ‘और – और ‘का प्रकृति का सुख तुझे संतोष नही दे सकता….तू ईश्वर से प्रीति कर..हे मनुष्य तू इतना उन्नत हो सकता है कि प्रगट भये गोपाला…!!”
मनुष्य मे ईश्वर ने इतनी योग्यताये दी है..पशु पक्षियों मे या चोरासी लाख मे से और किसी योनी मे ऐसी योग्यता नही है…
- मनुष्य जीवन मे ही चिंता होती है, पशुओ को चिंता नही होती..
- मनुष्य के ऊपर ही जिम्मेदारिया है, पशुओ के ऊपर जिम्मेदारिया नही होती..
- मनुष्य को एकादशी के दिन चावल खाने से पाप लगता है..मनुष्य का स्वास्थ्य बिगड़ता .., पशु को पाप नही लगता…
- मनुष्य को ही अमावस्या – पूनम को सेक्स करने से पाप लगता..विकलांग संतान पैदा होती..गर्भादान नही भी हुआ तो बीमारी और कमजोरी आती है..लेकिन पशुओ को कोई पाप नही लगता…
क्यो?
….क्यों कि सिर्फ मनुष्य मे ही उन्नति के लिए योग्यता भी मिली है..जो पशु, पक्षी , कीडे मकोडो को नही है..इसलिए ज्ञान के पंखो से उडान भरो उन्नत हो जाओ..अपना लक्ष ऊँचा रखो और उसे पाने मे लग जाओ..बोलो सभी…
लक्ष न ओझल होने पाए कदम  मिलाकर  चल…l
सफलता तेरे चरण चूमेगी आज नही तो कल… ll

..लम्बा श्वास लो….
हरि ॐ..हरि ॐ..
हरि हरि हरि हरि ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ शक्ति….
ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ भक्ति…
ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ मुक्ति…
ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ
 राम राम मेरे राम राम राम राम…
शिव शिव  शिव मेरे शिव शिव शिव शिव..
शक्ति..भक्ति और मुक्ति…
हरि ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ आनंद
हरि ॐ ओम् ॐ ॐ ॐ आरोग्य
हरि ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ  माधुर्य
हरि ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ ॐ हा हा हा हा हा…(बापूजी हास्य करवाए..   :-)    )
….ऐसे “हास्य” से आधि भौतिक और आधि दैविक लाभ होते है…आधि भौतिक ये कि तुम्हारे ७२००० नस नाडियों मे शुध्द रक्त का प्रवाह बहेने लगता है..माने भौतिक फायदा और आधि दैविक माने तुम्हारे वृत्तियों मे जो विकल्प होते वो शांत होते है..संशय ,तनाव टेंशन कम होते है…और बढिया स्वास्थ्य सुमन खिलने लग जाता है…
नारायण नारायण नारायण नारायण नारायण..
हरि ॐ..
हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म
हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म
हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म
हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म
हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म
हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म
हरि ओऽऽऽऽऽम्म्म्म्म
 (आरती हो रही है…ॐ  जय  जगदीश हरे..प्रार्थना हो रही है…कर्पूर गौरम..बापूजी और सभी भक्त गण ‘म्हारी नावडी दरिया  मां डोले गुरुजी’… ये प्यारा सा भजन गा रहे है..)
 …विफलता आती तो उन्नत करने के लिए ….सफलता आती तो अपनी योग्यता औरो के लिए उपयोग मे लाये..सुख मे बहो नही दुःख मे विलाप करो नही…
सुख स्वप्ना दुःख बुलबुला , दोनो है मेहमान
दोनो ही त्यज दीजिए , आत्मा को पहेचान..!

…अपना लक्ष ऊँचा रखो…वेद भगवान कहता है कि , “हे मानव ..! तुझे ज्ञान के पंख दिए है ..ऊँची उडान भरने के लिए..!!” ..ये ज्ञान कहा से मिलेगा?….सत्संग से.. ! ..भगवान शंकर पार्वती को अगस्त्य ऋषी के आश्रम ले जाते ….भगवान रामजी सीता जी  को  और लक्ष्मण को भारद्वाज ऋषी के आश्रम मे ले जाते……भगवान कृष्ण तो साक्षात् सत्संग थे..अर्जुन को युध्द के मैदान मे गीत सुनाया तो ‘भगवत गीता’ बन गया और वो सत्संग सुनने से ही अर्जुन के दुःख मिटे..सत्संग से ही केवल उन्नत जीवन का ज्ञान मिलेगा…किसी धन से, कुर्सी के द्वारा या  सत्ता से मनुष्य इतना उन्नत नही हो सकता…दुःख , तनाव टेंशन बना रहेगा…सत्संग के करीब जाते तो शाश्वत शांति, शाश्वत ज्ञान पाते है और सब को सत्ता देने वाले के साथ जीवात्मा का तादात्म्य होता है… ***** योग्यताओ को  जकड़ने वाले पाश ..मनुष्य मे योग्यता है..लेकिन योग्यता के साथ उसे बांधने वाले पाश भी आते है…ये पाश केवल सत्संग से ही कटते है…
-        एक पाश होता है तामसी पाश…खाओ , पियो मौज करो..ये तामसी पाश है…थोडी बहोत योग्यता बढती तो राजसी पाश आता….
-        राजशी पाश मे बंधे खपते रहते ..”और और” के पीछे…मरे जा रहे…

पड़ा रहेगा माल खजाना छोड़ स्र्तिया सूत जाना है.. l
कर सत्संग अभी से प्यार नही फिर पछताना है..  ll

स्त्री , पुत्र , माल -खजाना सब यहा ही पड़ा रहेगा…सत्संग का ..’सत’ का संग करता तो धन, मजा और खप्पे वाला राजसी पाश कटेगा तो सात्विक पाश आ जाता है…
-        सात्विक पाश मे  “मैं इतना भजन करता ..मैं इतना नियम करता हूँ”..ये पाश बांध लेता..इतना नियम करता तो नियम का फल हुआ…और नियम का फल नियम पे चलना ही है , तो अंत क्या?..पुजारी पूजा करता है..नमाजी  मस्जिद मे नमाज पड़ता है..बंदगी वाले बंदगी करते रहते ..लेकिन इन सब का अंत क्या?..ये ज्ञान सत्संग से ही मिलता है…नियम पे चलते रहना, भजन जप करते रहना ये सात्विक पाश है…सत्संग से ही ये पाश कटता है..ज्ञान प्रकाशित होता है…


” हे मनुष्य ! तुझे ईश्वर के ज्ञान मयी  पंख दिए है ..!
.. तू  विघ्न बाधा को काटनेवाला बन…!
..परिस्थितिया सदा एक जैसी नही रहेंगी.. तू परिस्थितियों  को काटने वाला बन..!
..स्वास्थ्य सदा नही रहेगा.. तू बीमारी से लड़ने वाला बन..!! “

..समस्या, परिस्थिति , अस्वास्थ्य आये तो इसमे रोने की डरने की क्या बात है…ये तो आनेजाने वाला है…ऐसी समझ सत्संग से ही विकसित होगी…भगवान मे, ईश्वर मे  , गुरु मे श्रध्दा होना ये सौभाग्य की बात है..गुरु की बातो को लौकिक मानेगा तो अशांति होगी…
गुरु को माने मानवी , देखे देह व्यवहार  l
कहे प्रीतम संशय नही पड़े नरक की झार  ll
.
.सात्विक पाश मे सत्संग के बिना श्रध्दा कम होती  , या टूट जाती है….प्रल्हाद के लिए  प्रत्यक्ष भगवान ने नरसिंह अवतार लिया ..फिर भी सात्विक पाश मे बंधने से सत्संग के बिना  प्रल्हाद की श्रध्दा टूट गयी…. “तेरे बाप को मारने वाले की पूजा करता है…अरे क्या भगवान, भगवान….”  किसी  ने कहे दिया तो प्रल्हाद को ऐसा तीर लगा कि भगवान विष्णु के साथ युध्द करने की तैय्यारी कर ली…! ..ईश्वर मे श्रध्दा थी लेकिन पिता को मारनेवाले के रुप मे भगवान को देखा तो श्रध्दा टूट गयी….भक्ति छोड़कर निन्दको का शिकार हो गया….संत कबीर कहते कि लाख  पापियों से बड़ा पापी  भगवान का  एक  निंदक  होता है…भगवान विष्णु स्वयम साधू का रुप लेकर प्रल्हाद को मिले ..( और प्रल्हाद को अश्रध्दा से बचाया…ये कहानी सदगुरूदेव ने बताई…) ऐसे सात्विक  पाश काटने के लिए प्रार्थना करे कि…


“हे परमेश्वर! ..जो पितृ और देवता को भी प्राप्य नही ऐसी आराधना , उपासना हम करते है..इसका फल  यही देना प्रभु कि तुम तक  पहुँचू …..!” 

..तो भगवान तामसी, राजसी, सात्विक पाश से मुक्त कर देंगे…भगवान तो कर्म के  दाता है..कर्म के नियामक है और कर्म के फलदाता भी है….जिनको श्रध्दा नही, गुरु नही सत्संग नही..उनकी दुर्दशा होती है…पतन के रास्ते जाते….तुच्छ कर्म का फल भोगते…नीच योनियों मे जाते….
नारायण हरि नारायण हरि..
-          इन दिनों मे तिल के तेल(आईल) से या सरसों के तेल से मालिश करना हितकारी होता है…
-          दिवाली के लिए जो उबटन बताया उससे इन दिनों स्नान कर सकते है..पापनाशिनी उबटन है..(गेंहू, चावल, मुंग, चना, उड़द, जव और तिल ये ७ चीजे १०-१० ग्राम लेकर-सम भाग- पिस के पोवडर बना ले और पहले सिर-ललाट-कंठ-ह्रदय-भुजा और नाभि इस क्रम से लगाकर नहाये तो पाप नाश होते और स्वास्थ्य भी अच्छा रहेता है..)
-          आज प्रतिपदा के दिन गाय के घी का , महापुरुषों का दर्शन करना चाहिऐ..
-          सौभाग्य सुठी पाक खाना चाहिऐ…फेब्रुअरी तक खा सकते है बाद मे गरम पड़ेगा…
 …मैंने तो सौभाग्य सुठी पाक खाना चालू कर दिया है..देखो कैसे जवान लगता हूँ…लेकिन ये तो सब शरीर के लिए है..शरीर तो मरनेवाला है…हम तो बाद मे भी रहेंगे..ये शरीर मैं नही हूँ..ये दाढ़ी मैं नही हूँ..ये बुध्दी मैं नही हूँ..ये हाथ मैं नही हूँ…मैं तो आत्मा हूँ…बुध्दी ,सिर , पेट , हाथ काम करता – नही करता इसको भी मैं जानता हूँ..ऐसा मैं “आत्मा” हूँ ..प्रभु का प्यारा हूँ…  :-)    …मैं सुन्दर हो गया…तो अरे सुन्दर तो चमडा हो गया…मैं तो उसको जाननेवाला हूँ…
हरि हरि ॐ
मधुर मधुर नाम हरि हरि ॐ..(वन्दनीय नारायण सांई  मधुर भजन गा रहे है…)
….भगवान ने अर्जुन को धनंजय कहा…धन का स्वामी..वस्तुओ का स्वामी..वास्तव मे आप स्वामी ही हो…लेकिन हीन स्वभाव के कारन ‘दास’ बन गए…..!! हीन सोच के कारन परिस्थितिया , सुख ,दुःख विफलता के ‘दास’ बन गए हो…..
दीपावली का इतना संदेश ले जाये कि अपना लक्ष ऊँचा रखे…
हरि ॐ हरि ॐ..
ॐ शांति.. हरि ॐ!सदगुरूदेव की जय हो!!!!!
(गलतियों के लिए प्रभुजी क्षमा करे….)

Explore posts in the same categories: Uncategorized

2 Comments on “gyan ke pankh….Pratipada satsang_live”

  1. rohat kumar Says:

    Hari Om:
    Pujia Bapu ji k Shri Charnu me Shat Shat Naman:
    Hari Om: DEWALI MUBARAK

  2. gautam4662@yahoo.com Says:

    JAY MATAJI HARESH KOLA BARODA


Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Connecting to %s


Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 3,671 other followers